Shadab Ansari Emails are now shared on Blogspot.

Tuesday, April 7, 2009

YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN

jab tumhein yeh yaqeen ho jaye
ke main tumhein kitna chahta hoon
tumse kitni mohabbat karta hoon
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
jab tumhain aisa lage ke
koi tumhare sang nahi hai
koi tumhara hamdam nahi hai
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
jab tumhain zindagi dushwar lage
jab koi umeed na koi aas ho
koi bhe na tumhare pass ho
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
agar kabhi yadein bohat dukh de
tanhai ka ehsas bohat satae
to usi din tum lautt aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
jab you lage tumhain ke
tum ab aik qadam bhe nahi chal sakti
mazeed is aag main nahi jal sakti
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
jab har saans boojh lagne lage
tum andar hi andar tootne lago
to ausi din tum lautt aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
na mile panah kisi key banhoon main
aur shiddat se kisi ke zaroorat ho
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
jab yeh ehsas tumhain tadpane lage
ke tum ne kabhi tukraya tha kisi ko
yah phir koi tumhain tukra de
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
aankhoon main ajay agar ask tumhari
aur koi shaks pouchne wala na ho
koi ghum bant ne wala na ho
to usi din tum lautt aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
koi tord de agar dil tumhara
ho agar na koi muqabil tumhara
tanhai ka ehsas bohat sataee
to usi din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
yeh to dukh deti hain sada
tumhain bhe yadein sataye jab
mehfil main bhe khud ko tanha paoo
to us din tum laut aana
tum mujhe apna muntazir paao gi
yeh mera wada raha tumse
jo kuch bhe main ne kaha tumse
yeh sab na bhool paoo gi
tum muje sada,sada apna muntazir paoo gi


***********************************************

Kabhi humaari taraf muskuraakar bhi dekho
Humaari nazar bohat kuch keh deti hai

 
Kabhi hamein nazaron se samajh kar to dekho
Humse dosti ka rishta hai tumhara

 
Kabhi hum say dil laga kar to dekho
Humari baton ne tumhaara dil kahi baar behlaya hai

 
Kabhi apni baton se hamein hasaa kar to dekho
Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho

 
Kabhi hamein bhi apne dil mein basaa kar to dekho
Har mushkil rah be aasaan ho jaayegi bus

 
Hum par ik baar aitbaar kar ke to dekho
Hum tumhein zindagi mein har khushi denge

 
Bus ek baar humse pyaar kar ke to dekho
Tumhein paane ke liye har imtihaan denge hum

 
Humein kabhi aazmaa kar to dekho
Tum kehte ho ke bohat mushkil hai mujhe apnana

 
Ek baar hamein apna banaa kar to dekho
 
********************************************

Tu Nay Dekha Hay Kabhi Ik Nazar Sham Kay Baad
Kitnay Chup Chap Say Lagtay Hain Shajar Sham Kay Baad


Itnay Chup Chap Kay Rastay Bhi Rahain Gay La-Ilm
Choor Jayen Gay Kisi Rooz Nagar Sham Kay Baad


Sham Say Pehlay Tha Woh Mast Apni Uranoon May
Jis Kay Hatoon May Thay Tootay Huvay Parr Sham Kay Baad


Raat beeti Tou Ginay Aablay Aur Socha Hum Nay
Kon Tha Bais -E- Aghaz -E- Safar Sham Kay Baad


May Nay Aisay Hee Gunah Teri Judau May Kiye
Jaisay Koi Toofan May Choor Day Sheher Sham Kay Baad


Tu Tou Hay Suraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh
Tu Kisi Rooz Meray Ghar May Utar Sham Kay Baad

Lout Aiye Na Kisi Rooz Woh Awara Mijaz
Khool Rakhtay Hain isi Aasss Pay Dar Sham Kay Baad

*****************************************************************************

Apne Haathon Se ...

Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho,
Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho...

Tum Kabhi Mere Tarha Kar Bhi Lo Ikraar-e-Wafa,
Pyar Karte Ho To Phir Pyar Chupate Q Ho...

Ashq Aankho Mein Mere Dekh K Rote Q Ho,
Dil Bhar Aata Hai To Phir Dil Ko Dukhate Q Ho...

In Se Vaabasta Hai Jab Mera Muqadar Phir ....!!!
Mere Shano Se Ye Zulf Hatatay Q Ho......!!

Roz Mar Mar K Mujhe Jeenay Ko Kehte Q Ho,
Milne Aatay Ho To Phir Laut K Jatay Q Ho...

Apne Haatho Se Yun Chehre Ko Chupate Q Ho,
Mujh Se Sharmate Ho To Saamne Atay Q Ho...


 ************************************************
 
Kaash Koi Samjha Daita ...

Guftugo Ke Lamhon Main
Dekh He Nahi Paatay
Ham Tumharay Chehray Ko
Tum Hamari Aankhon Ko
Aaj Aisa Kartay Hain
Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
Baat Chor Datay Hain

Jaane Kiya Lamha Hoga
Jab Ye Hath Hathon Say
Gar Kabhi Juda Hoga
Aaj Aisa Kartay Hain
Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
Hath Chor Datay Hain

Kash Koi Samjha Day
Loag Kis Tarah Dil Ki
Manzilain Alag Kar Kay
Saath Chor Datay Hain
Aaj Aisa Kartay Hain
Bey-sabab Bikhartay Hain
Zaat Taur Datay Hain...

 

******************************************
 
Tub Yaad Tumhari Aatee Hai ...

Jab Yunhi Kabhi Baithay Baithay, Kuch Yaad Achanak Aa ja Ay
Her Baat Say Dil Bayzar Sa Ho, Her Cheez Say Dil Ghabra JaAy

Karna Bhi Mujhay Kuch Aur He Ho, Kuch Aur He Mujh Say Ho JaAy
Kuch Aur He Sochoon Mein Dil Mein, Kuch Aur He Hontoon Per Aa Ay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil Ja Ain, Kuch Betay Lamhay Yaad Aa Ain

Tub Yaad Tumhari Aatee Hai ...

Jab Chandni Dil Kay Aangan Mein, Kuch Kehnay Mujh Say Aa jaAy
Ik Khwabedaa Se Chote Koi, Ehsaas Pay Meray Chaa jaAy

Jab Zulf Parayshaan Chehray Per, Kuch Aur Parayshaan Ho JaAy
Kuch Dard Bhi Dil Mein Honay Lagay, Aur Saans Bhi Bojhal Ho jaAy

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil JaAin, Kuch Betay Lamhay Yaad Aa Ain

Tub Yaad Tumhari Aatee Hai

Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay, Manzil Ka Na Koi Naam Milay
Ik Hansta Hua Aaghaz Milay, Ik Rota Hua Anjaam Milay

Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say, Is Dil Ko Koi Paygham Milay
Aur Sari Wafaoon Kay Badlay, Mujh Ko He Koi Ilzaam Milay

Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein, Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil JaAin, Kuch Beetay Lamhay Yaad AaAin

Tub Yaad Tumhari Aatee Hai


****************************************
YEH AANKHEIN BUHAT SATATI HAIN,
Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain
Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain
Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Ek aan mein faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain
Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain
Ek khoj mein bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN,
Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain
Yeh royen to Dil bhi rota hai
Kab in se judda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain
Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH AANKHEN BUHAT SATATI HAIN


No comments:

Post a Comment

About Me

My photo
Malegaon, Maharashtra, India
SHADAB AHMED ANSARI , Shadab Ansari : I am a JDE CNC Consultant by profession. I have done B.E. (Electronics & Telecommunication) I have great interest in Urdu Literature, Urdu Poetry, History, Technology and Islamic Studies.