Shadab Ansari Emails are now shared on Blogspot.

Tuesday, April 7, 2009

Munna Bhai B.H.M.S on Practice

Munna Bhai B.H.M.S on Practice

 

Munna Bhai nay pehlay din office khola to bara khush tha. Us ki secertary nay bataya k bahar aik aadmi aaya hai. Munna bara khush hua aur usay andar aanay k liye kaha. Us k andar aanay say pehlay Munna nay socha k us par impression dalna chahiye aur phone utha k batien karnay laga.

"Haan Haan! 500 rupay fees hai, apun 10 baje tak betha hai idher, is say late nahi karnay ka, apun bahut busy hai".

Us k baad us nay phone rakha aur aanay walay say poocha "Beth na Maamoon, apun teray liye kya kar sakta hai?"

Man: Mien phone sahi karnay aaya hoon.

 

⋆⋆⋆⋆⋆

Munna: Meray paas aik buri khabar hai, aur aik buhat hi buri khabar hai teray wastay.

Patient: Acha to pehlay buri khabar suna daal.

Munna: Apun k paas jo teri report pahunchi us mien likha tha k teray paas sirf 24 ghantay hain zinda rehnay k liye.

Patient: Sirf 24 ghantay. is say buri khabar kya ho sakti hai.

Munna: (Jadu ki Japhhi Dalte Hoauy) Mien kal say teray tak pahunchnay ki koshish kar raha hoon.

 

⋆⋆⋆⋆⋆

 

Munna: Abay Circuit! Jaa baajo walay ghar say Doctor ko bula k laa, meri tabiat kharab ho reli hai.

Circuit: Aey Bhai ! aap to khud doctor ho.

Munna: Bolay to meri fees buhat zyada hai.

 

⋆⋆⋆⋆⋆

Munna: Bolay to Apun ko tera operation dobara karna paray ga. Kyun k apun kay rubber k gloves teray andar hi reh gaye hain.

Patient: Agar yeh baat hai to mujhay jaanay do. Mien tumharay gloves ki payment kar doon ga.

 

⋆⋆⋆⋆⋆

 

Munna: Bolay to darad kahan hai aapko.

Patient (F): Pooray badan mien hai

Munna: Yeh kaisay ho sakta hai ray, kuch detail batao.

Patient: Tocuhes her right knee and says here, then touches her earlobe and says here, then touches her left cheek and says here, etc.

Munna: Aesay hi khaali peeli tension de reli hai, teri finger mien dard hai.

 

⋆⋆⋆⋆⋆

 

Patient: Doctor aap ko yakeen hai k mujhay Namoonia (pneumonia) hai, kyun k pichlay dino aik doctor meri friend ka Namoonia ka ilaaj karta raha aur woh Typhoid say mar gayi.

Munna: Haan ray meray ko akha yaqeen hai, tu namoonia say hi maray ga.

 

⋆⋆⋆⋆⋆

 

Aik patient Munnabhai k paas aaya, Munna nay us ka chekup kiya aur bola

Munna: Tumharay pass ziyada waqt nahi hai

Patient: Meray pass kitna time hai.

Munna: Dus (10)

Patient: Kya Dus.... Minute..... Ghantay.......... Din......?

Munna: No (9), Aath (8), Saat (7),.......

 

⋆⋆⋆⋆⋆

 

Raat ka time jab Munna aur chinkie apnay bed room mien so rahay thay to phone ki ghanti baji.

Voice: Aray Doctor sahab jaldi aayeay! Meray betay nay blade kha liya hai

Munna abhi jaanay k liye tayyar hi hota k dobara phone aata hai.

Voice: Doctor Sahab! Ab aanay ki koi zaroorat nahi, meray husband ko shave k liye doosra blade mil gaya hai.

 

⋆⋆⋆⋆⋆

 

Aanand jab end mien bachon ko story sunata hai to bolta hai;

Aanand: "Munna nay kaha tha k woh mujhay aik month mien meray feet pay khara kar de ga"

Bachay: Phir?

Aanand: "Phir kya, mujhay us ka bill pay karnay k liye apni car bechna pari."

 

⋆⋆⋆⋆⋆

 

Munna: Apna munn kholo.....

Patient opens his mouth: Aaaaaaaaaaaaa..........

Munna throughs his torch light in his mouth: Hmmmmmmm..... Torch sahi hai.

 

⋆⋆⋆⋆⋆

 

Chinkie: Tum hamaisha clinic mien apnay saath meri photo bhi kyun le jaatay ho.

Munna: Apun ko jab bhi koi mushkil aati hai, apun tumhari pic dekh leta hoon aur woh prob. solve ho jaati hai.

Chinkie: Dekha! Mien tumharay liye kitni achi aur powerful hoon.

Munna: Haan! Apun teri pic dekhta hai aur apnay aap say bolta hai "Is say bari bhi koi problem ho sakti hai bhala."

 

⋆⋆⋆⋆⋆

 

Munna: Teray ko maaloom hai k cigarette aik tarah say slow poison ka kaam karta hai.

Patient: To mujhay konsa marnay ki jaldi hai.


No comments:

Post a Comment

About Me

My photo
Malegaon, Maharashtra, India
SHADAB AHMED ANSARI , Shadab Ansari : I am a JDE CNC Consultant by profession. I have done B.E. (Electronics & Telecommunication) I have great interest in Urdu Literature, Urdu Poetry, History, Technology and Islamic Studies.