Shadab Ansari Emails are now shared on Blogspot.

Tuesday, April 7, 2009

Main ne kaha : naam mera etibaar hai

Yeh Adhoora Pan
Jaisay Adhi Kaali Raat,
Jaisay Aadha Chand,
Jaisay Bin Sooraj Kiran,
Jaisay Bin Badal Barsaat,
Jaisay Jungal Mein Tanha Hiran,
Jaisay Be Aawaz Koiyal,
Jaisay Sookhi Kali,
Jaisay Thehra Hoa Paani,
Jaisay Bin Paani Machhali,
Jaisay Andha Raahi,
Jaisay Bikhari Zulfein,
Jaisay Dolhay Bin Baraat,
Aisay Hi Tum Bin Main,
Aur Mera Yeh Adhora Pan
----------------------------
us ne kaha : tumhain mujh se kitna pyaar hai
maine kaha : sitaron ka bhi koi shumaar hai
us ne kaham : kon tumhain hai bohut aziz
maine kaha : dil pe jise ikhtayr hai
us ne kaha : kon sa tauhfa hai mann pasand
maine kaha : woh sham jo ab tak udhaar hai
us ne kaha : khizahaan main mulaqat ka jawaz hai
maine kaha : qurab ka matlab bahaar hai
us ne kaha : senkroon ghum zindagi main hain
maine kaha : ghum nahi`jab ghum gusaar hai
us ne kaha : sath kahan tak nibhaogy?
maine kaha : jitni ye sansoon ki taar hai
us ne kaha : mujh ko yaqeen aye kis tarahan?
maine kaha : naam mera etibaar hai
Is zindagi main hussn ko nikhaar chahiyye
Ujray hain jo gulshan unhain bahaar chahiyye

Deewano ko ye chahiyye had se barhain na woh
aur aashqon ko dil pe ikhtiyaar chahiyye

Unko nahi tassalliye dil yaar ki taraf
Iqraar hogaya hai tu izhaar chahiyye

Sun kar awaaz yaar ki kehtay hain machal kar
Kaafi nahi guftaar hi deedaar chahiyye

Mohabbat ke liye laazim hain kuch ashyaai khaas bhi Dil_o_jaa'n chahiyye imaan_o_aitbaar chahiyye

Ye sab tu hum ne paaya magar ik aur khaahish hai Jo bewafa na ho hamain woh yaar chahiyye
Baat Nikleygi To Phir Duur Talak Jaayegee
Log Bewajah Udaasee Kaa Sabab Poochhenge
Ye Bhee Poochhenge Ke Tum Itnee Pareshaan Kyoon Ho
Oongliyaan Utheingee Sookhey Huway Baalon Kee Taraf
Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Saalon Kee Taraf
Choodiyon Par Bhee Kai Tanz Kiye Jaayenge
Kaanpate Haathon Pe Bhee Fikre Kase Jaayenge
Log Zaalim Hain Har Ek Baat Kaa Taanaa Denge
Baaton Baaton Mein Meraa Zikr Bhee Le Aayenge
Unakee Baaton Kaa Zaraa Saa Bhee Asar Mat Lenaa
Warnaa Chehre Ke Taasur Se Samajh Jaayenge
Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Naa Karnaa Unse
Mere Baare Mein Koi Baat Na Karnaa Unse
Baat Nikalegii To Phir Door Talak Jaayegee
***************************************************
Aadhi Raat K Sannatey Mein
Kisney Phone Kia Hai Mujhko?
Jaaney Kis Ka Phone Aaya Hai
Phone Utha Ker Yun Lagta Hai
Us Janib Koi Gum Sum, Gum Sum, Ukhra Ukhra
Dheerey Dheerey Kaanp Raha Hai
Mehki Hui Ik Khamoshi Hai
Ghup Khamoshi
Lekin Is Khamoshi Mein Bhi Gonj Rahe Hain
Thandi Saansein, Baarish , Aansu
Khamoshi Se Thak Ker Usney Saans Liya To
Chouri Khanki.......
Uff Ye Khan Khan.....
Ik Lamhey Mein Saarey Badan Mein Phel Gaee Hai
Tere Ilawa Koi Nahi Hai
Lekin Itney Barsoun Baad...!!!
Ghum Ki Barish Ne Bhee Teray Naqsh Ko Dhoya Nahin
Tu Ne Mujh Ko Khoo Diya, Maine Tujhe Khoya Nahin

Neend Ka Halka Gulabi Saa Khumaar Ankhon Main Tha
Yun Laga Jaisay Woh Shab Ko Deir Tak Sooya Nahin

Har Taraf Dewar-O-Dar Aur Inn Main Aankhon Ke Hajoom
Keh Sakay Jo Dil Ki Halat Woh Lab-e-Goyaa Nahin

Jurm Adam Ney Kiya Aur Nasl-e-Adam Ko Sazaa
Kaat-thi Hu Zindagi Bhar Jo Mainay Boyaa Nahin

Jaant-thi Hu Ik Aisay Shakhs Ko Main Bhee
Ghum Se Pathar Ho Gaya Lekin Kabhi Rooya Nahin

No comments:

Post a Comment

About Me

My photo
Malegaon, Maharashtra, India
SHADAB AHMED ANSARI , Shadab Ansari : I am a JDE CNC Consultant by profession. I have done B.E. (Electronics & Telecommunication) I have great interest in Urdu Literature, Urdu Poetry, History, Technology and Islamic Studies.