Shadab Ansari Emails are now shared on Blogspot.

Tuesday, April 7, 2009

Itne door mat jana........

itne door mat jana
Laut kar aana bhi bhool jao, itne door nahin jana
Chah kar bhi na laut pao, itne door nahin jana
Ye fasley har rabta bhi phir tor dain
Mere bad tum mujhe bolao, itne door nahin jana
Tumhari har baat pe hai dil ko aitbaar
Zaroorat pare ke yaqeen dilao,itne door nahin jana
Waqt ke saath har umeed hi mar jaye
Ye bhi ke tum wapis aao,itne door nahin jana
Kuch na baqi rahe phir humare darmiyan
Har yaad ko tum bhulao,itne door nahi jana


~Yadoon Ki Mehak~
teri yadoon ki mehak,
sath liye akser hum ,
door khuwaboo k jazeeray main uter jatey hain,
kyun k main janta hon,
hum aur tum
sirf khuwaboo main he mil saktey hain,
mainay socha hai is baar tumharay humraah,
aik aisi jaga utroonga,
aur tumhain apnay paas bitha ker,
aankho main aakhain daal ker,
bari himmat ker k tum say keh donga,
tumsay keh donga k tum meri ho
tum jo chahho to,
meri yakterfa muhabbat ko sahara dey do,
zindagi yun to bahut thori hai muhabbat k liye
tum jitna bhi piyaar mujhay dey sako sara dey do,
kuch to bolo,
kuch to bolo
kahin aisa na ho k sehar hotey he hum wapis us dunya mian laut jain
bus yehi chund khiyalaat liye
teri yadoon ki mehak sath liye
akser hum door khuwaboo k jazeray main uter jatey hian
kyun k hum aur tum sirf khuwaboo main he mil saktey hain


 

No comments:

Post a Comment

About Me

My photo
Malegaon, Maharashtra, India
SHADAB AHMED ANSARI , Shadab Ansari : I am a JDE CNC Consultant by profession. I have done B.E. (Electronics & Telecommunication) I have great interest in Urdu Literature, Urdu Poetry, History, Technology and Islamic Studies.