Milti hi nahi us ko mulaqat ki rahain
Aur mujh ko na milnay ka bahana nahin milta
*****
Itne Qareeb aao k jee bhar k daikh loon !!
Shayad k phir milo to yeh zauq e nazar na ho
*******
uth ker to aa gay hain teri bazm say magar
kuch dil hi jaanta hay ke kis dil say aey hain
******
Na haath thaam sake, na pakar sake daaman
Bohot qareeb se ut'h kar chala gaya hai koi
***********
Aaj us ne mizaaj poocha tha
jee main aya, is qadar keh doon
aap ki be' etinaiyon ke sabab
Zindagi maut se bhi bad'tar hai
per nahi, kuch nahi kaha main ne
woh narum dil ka malik hai
baat sunn'ta uddas ho jata
haan magar iss'qadar kaha main ne
Hall pehlay se kuch to bihtar hai
***********
Rah e wafa main koi akhari maqam nahi
Shikast e dil ko mohabat ki inteha na samjh
Her aik sahib e manzil ko bamurad na jan
Her aik rah nasheen ko shikasta paa na samjh
**************
Aaj hi to kisi se becharre hain
Aaj ki raat chand'ni kiyoon hai
Na aaj lutf kar itna kay kal guzer na skay
Wo raat jo tere gasuoo(n) kee raat naheen
Ye aarzoo bhi barri cheez hai magar ham-dum
Visaal-e-yaar faqat aarzoo kee baat naheen
**************
Na ji bhar ke daikha Na kuch baat ki
Barri aarzoo thi mulaqat ki
Main chup tha to chalti hava rukh gai
Zubaan sub samjhte hain jazbaat ki
Kayi saal se kuch khaber hi nahi
Kahaan din ghuzaara, Kahaan raat ki
*******************
Nakaam si koshish kiya karte hain
Hum hain ki unse pyar kya karte hain
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain....
R*************
Ek Ada Aapki Dil Churaane Ki
Ek Ada Aapki Dil Main Bus Jaane Ki
Ek Chehra Aapka Chaand Sa
Ek Zid Humari Chaand Ko Paane Ki...
***************
Aisa lagta hai zindagi tum ho
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
justujoo meri aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeedein!
Kis zamaane ke aadmee tum ho
**************
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
************
muhabbat karane wale kam na ho.nge
teri mahafil mein lekin ham na ho.nge
zamaane bhar ke Gam yaa ik tera Gam
ye Gam hogaa to kitane Gam na ho.nge
dilo.n ki uljhane ba.Dhati rahe.ngii
agar kuchh mashware baaham na ho.nge
agar tu ittefaaqan mil bhii jaaye
teri furqat ke sadame kam na ho.nge
***********
Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?
*********************
Zameen Per Bhaij Diya, Khair Muslihat Uss Ki
Tum ko to Chaand Banana Tha Aasmaan kay liye
No comments:
Post a Comment