Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin
meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
agar aap jeete hain to main haara nahin
ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
main ne abhi aapka ghum dil se utaara nahin
tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin
kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin
kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin
mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin
wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin
Itna hai bad-naseeb ka ye jahan
10/11/2006
**********************************************************************
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Dariya ka Saahil ho, poore chaand ki raat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Pareyoon ki mehfil ho, koi tumhari baat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Yeh naram mulayyam thandi hawain
Jab ghar se tumhare guzrain
Tumhari khushboo churrayain
Mere ghar aayain
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Sooni har mehfil ho, koi na mere saath ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Kabhi yun bhi tu ho
Yeh badal aisa toot ke barsay
Mere dil ki tarah milne ko tumhara dil bhi tarsay
Tum niklo ghar se
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Kabhi yun bhi tu ho
Tanhaee ho dil ho, boondain ho, barsaat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Kabhi yun bhi tu ho
Dariya ka Saahil ho, poore chaand ki raat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
10/11/2006
**********************************************************************
Koii chupkay chupkay kehta hai,
Koii geet likho meri ankhon per,
Koii sher kaho mere lafzon per,
In khushboo jesi baton per,
Chup chaap main sunta rehta hon,
Phir in jheel si gherii ankhon per,
Ik taza ghazal likh deta hon,
In phool jesi baton per,
Aik sher niya keh deta hon,
Yeh geet, ghazal yeh sher mere,
Sab us k piyar ka darpan hain,
Sab us k roop ka darshan hain,
Sab us ki ankh ka kajal hai...........
10/11/2006
**********************************************************************
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye a
a phir se mujhe chor ke jane ke liye a
pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye a
kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye a
kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye a
ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maharum
ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye a
ab tak dil-e-Khush faham ko tujh se hain ummidain
ye aKhiri shamain bhi bujhane ke liye a
mana ki muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat
chupake se kisi roz yeh jatane ke liye a
jaise tujhe ate hain na anye ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye a
10/11/2006
**********************************************************************
jis simt bhi dekhuun nazar aataa hai ke tum ho
ai jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai ke tum ho
ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jhonkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho
is did ki sa_aat mein kai rang hain larazaan
main huun ke koi aur hai duniyaa hai ke tum ho
dekho ye kisi aur ki aankhen hain ke meri
dekhuun ye kisi aur kaa cheharaa hai ke tum ho
ye umr-e-gurezaan kahin Thahare to ye jaanuun
har saans mein mujh ko ye lagataa hai ke tum ho
har bazm mein mauzuu-e-suKhan dil zad_gaan kaa
ab kaun hai shirin hai ke lailaa hai ke tum ho
ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke main huun
ik mauj mein aayaa huaa dariya hai ke tum ho
vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhi soche
is shahar mein tanhaa koi ham saa hai ke tum ho
aabaad ham aashuftaa saron se nahin maqtal
ye rasm abhi shahar mein zindaa hai ke tum ho
ai jaan-e-'shadab' itani bhi taufiq kise thi
ham ko Gam-e-hasti bhi gavaaraa hai ke tum ho
10/11/2006
**********************************************************************
ajnabi sheher k ajnabi rastay
meri tanhaii per muskoratay rahay
main bohat der tak yunhi chalta raha
tum bohat der tak yad atay rahay
zeher milta raha, zeher peetay rahay
roz mertay rahay, roz jeetay rahay
zindagi bhi hamain azmati rahi
or hum bhi usay azmatay rahay
ajnabi sheher k....
Kal kuch aisa howa, main bohat thak gaya
is liyay sun k bhi un suni ker gaya
kitni yadon k bhatkay howay karwaan
dill k zakhmon k darr khatkhatatay rahay
ajnabi sheher k....
zakhm jab bhi koii zehn o dill per laga
zindagi ki taraf ik dareecha khula
hum bhi goyaa kisi saaz k taar hain
chott khatay rahay, gungunatay rahay
ajnabi sheher k ajnabi rastay
meri tanhaii per muskoratay rahay
main bohat der tak yunhi chalta raha
tum bohat der tak yaad atay rahay!!!!!!!
10/11/2006
**********************************************************************
dukh dard k maro se mera zikr na karna
ghar jao to Yaro se mera zikr na karna
wo zabt na kar paen gay Ankho k samandar
tum gum guzaro se mera zikr na karna
pholon k Nasheman Main raha hon sada se
dekho kabhi gairoon se mera zikr na karna
shahyad ye andehre he mujhe rah dekhai
ab chaand sitaro se mera zikar na karna
10/11/2006
**********************************************************************
Mujhe baahon mein bikhar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Dil machalta hai aur saans rukti hai,
Ab toh seene mein aaj mujhe utar aane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Shokh nazron ko sharm aati hai,
Thartharaate hue labon ko chain paane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Raat tanha hai aur sard mausam hai,
Shola-e-ehsaas ko AB aur bhadak jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Behke hain hum fizaa Jo behki hai,
Dil ko dil rooh ko rooh mein sama jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Bikhre gesu hain bikhra kaajal hai,
Haule haule is shab ko tum guzar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Abhi aur bhi armaan dil me baaki hai,
Yuhin baahon mein is raat ko kat jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Mujhe baahon mein bikhar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
10/5/2006
**********************************************************************
Bus yunhi
Hansi Hansi Main Loug
Diloun Se Khail Jatey Hain
Koi Teekhi Baat
Koi Chubhta Hua Lehja
Koi Zeher Alood Jumla
Koi Zoo Mani Si Baat
Dil Main Zakham Laga Jati Hai
Bus Yunhi Hansi Hansi Main Loug
Ye Jantey Huay Bhi
Keh Jism Ka Zakham Gehra Naheen Hota
Bhar Hi Jata Hai
Per Zaban Sey Lagaya Hua Zakham
Dil Main Uter Jata Hai
Phir Kitney Hi Talaafi Key Marham Lagao
Madham Naheen Hota
Bus Yunhi Hansi Hansi Main Loug
Diloun Se Khail Jatey Hain
**********************************************************************
Wo apna hai ya begana.. achha lagta hai,
Do pal uske saath bitana.. achha lagta hai,
Roz bahane kar ke jana.. achha lagta hai,
Ik jhalak bhi uski pana.. achha lagta hai,
Kahne ko jab chaahun.. haan kar degi woh,
Lekin phir bhi uska na na.. achha lagata hai,
Uski baat kuchh alag hai.. mujhko kuchh bhi kah le,
Aashiq, pagal ya deewana.. achha lagta hai,
Usko log shama kahte hain.. muskati hai wo,
Mujhko kahte hai parwana.. achha lagta hai,
Rishta hai na jane.. mera usse kiya,
Mere khawabon mein bhi uska aana.. achha lagta hai
10/5/2006
**********************************************************************
Dil mein ek khuahish hai jo sirf tum sey wabasta hai
aaj us koahish ka izhar kerna chahta hoon
Jahan jahan tum chalo,tu apnay anchal ko
tumharay qadmoon mein phailana chahta hoon
tumharay her ghum ke kantay ko apni,
Palkoon sey uthana chahta hoon
jo kabhi aay tumhari rahoon mein andheera tu,
khud dia ban ker jalna chahta hoon
Jo lay tumharay hontoon per khushi,
woh muskurahat ban na chahta hoon
Dil mein ek koahish hai jo sirf tum se wabasta hai,
aaj us koahish ka izhar kerna chahta hoon
jo saansain tum laitay ho ,un saanson mein bass ker
tumhari mehak banana chahta hoon
jo khowab tum dekho, tu uss khowab ki haqeeqat ban ker
tumhari her koahish pori kerna chahta hoon
jo aay tumhari rah mein kabhi dhoop tu,
uss dhoop mein tumhari chaon ban ker bikharna chahta hoon
jo rahay hamesha tumharay saath ,
woh saaya ban ker chalna chahta hoon
khuch tu kaho mujh sey bas ek bar,
sirf or sirf tumhari ban ker zinda rehna chahta hoon
10/5/2006
********************************************************************** Ban Ke Dhadkan, Dil Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Khusboo, Saanso Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Pani, Aakhon Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Ghazal, Zuba Pe Chali Aati Ho;
Ban Ke Sangeet, Kaano Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Suraj, Din Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Chand, Raat Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Hawa, Fizao Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Kismat, Lakiro Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Zindagi, Rooh Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Nasha, Jaam Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Tabassum, Hoto Pe Chali Aati Ho;
Ban Ke Rang, Tasweero Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Manzil, Raaho Me Chali Aati Ho;
Woh Tum Hi Ho.......... ....;
Ban Ke Saathi, Mere Saath Chali Aati Ho
10/5/2006
**********************************************************************
My sweethart
wishin u forever...
............(...(`.-``'´´-.´)...)..........12 months of happiness
..............)......--.......--....(...........52 weeks of fun
............./......(o..._...o)....\..........365 days of success
.............\.........(..0..)......./..........8,760 hours of gud health
..........__.`.-._...'='.._.-.´.__.......525,600 minutes of blessings
......./.......'#.'#.,.--.,.#'.#.'....\....
.......\__))..........'#'......... ((__/.....
__xxxxxxxxxxx______xxxxxxxxxx
_xxxxxxxxxxxxxx___xxxxxxxxxxxxx
xxxxxxxxxxxxxxxx_xxxxxxxxxxxxxx
xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
_xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
__xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
____xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx
_______xxxxxxxxxxxxxxxxx
_________xxxxxxxxxxxx
__________xxxxxxxxx
____________xxxxx
_____________xxx
_____________xx i missssssssssssssss u ilove u
10/4/2006
**********************************************************************
a special gift for special frd
*.,.~.,* (;@;)
~~*`~´.* .(;@;).`~'´
~~. ,~. ,.* . `~ ´ *.*´.,~.,
~~(;@;). ,.~. ,´ .*.* .(;@;)
~~ `~´..(;@;) *.*,.~. ,`~'´
~~~,.~.,`~.´ *..*(;@;) *.. *
~~ (;@;)*.. ,.~., .`'~ ´,.~.,
~~~`~'.´ *.(;@;)*.*. (;@;)
~~~~~*,.~.,`~´,.~,.´`~´
~~~~~ (;@;).*.(;@;).**.
~~~~~ `~´ * ~ `~'.´~
~,____*:( ;@;)*(;@;).*;'___,
~ \___\,*`.';:( ;@;),*;,*/___/
~~~~ ,___\*:;:;`.'*/___,
~~~~ \___\,\\|//,/___/
~~~~~~,---.\\|,/,---,
~~~~~~(_ -}.(_){-_ )
~~~~~~.'---' /|\ `---'
~.~~~~~ / /|||\ \
~~~~~~~-,/ ||| \
10/4/2006
**********************************************************************
: _______**********______*********_______
____***_________***__***________***____
___***____________****___________***___
__***______________**_____________***__
__***____HEARTBEATS R COUNTLESS____***__
__***_______SPIRITS R AGELESS_______***__
___***_______DREAMS R ENDLESS_____***__
____***FRIENDS LIKE U R PRICELES___***___
_____***______thx_4_being_______***_____
______***_________MY__________***_____
________***_____FRIEND_______***_______
__________***______________***_________
____________***__________***___________
_______________***____***______________
_________________******________________
___________________**__________________
10/4/2006
**********************************************************************
: !!.!!I Wish 4 " U "!!.!!
!!.!!Great start 4 Monday!!.!!
!!.!!No Obstacles 4 Tuesday!!.!!
!!.!!No stress 4 Wednesday!!.!!
!!.!!No worry 4 Thursday !!.!!
!!.!!Smile 4 Friday!!.!!
!!.!!Party 4 Saturday!!.!!
!!.!! Great fun 4 Sunday!!.!!
!!.!!"Have a beautiful and smart week!!.!! 1
10/2/2006
**********************************************************************
: DECENT
♥ ♥
♥ ♥CUTE
♥
INNOCENT
♥ ♥
♥ NAUGHTY ♥
♥ ♥
♥
BEAUTIFULL
♥ ♥ ♥
SWEEET
♥ ♥
♥ ♥GREAT
♥
CUTE
♥ ♥
♥ ♥KOOOOOOOOL
♥
♥ ♥
SMART
♥ ♥
♥ ♥
♥PIYARA
♥ ♥ ♥
LOVLY
♥ ♥
♥ ♥ADORABALE
MAY ALLAH BLESS U B HAPPY N BEST OF LUCK
: ¸*★*ஃ*★*¸
ஃ*★*' '*★*ஃ
¸'ஃ*'' " *ஃ¸'
Some friends are like a flower
and when they finally bloom
they wilt away in just one day
Some friends are like a cloudy day
and when the sun"s in sight
it gets blocked by the grayest cloud
and day turns into night
" *ஃ*¸'★*ஃ'¸" ★*ஃ*"
" *ஃ¸'★" *ஃ* *ஃ*" ★'¸ஃ*"
Some friends are like a maple tree
and with the slightest breeze
the colored leaves, they all come loose
and float away with ease
Some friends are like a circle
for they are always true
I know I have a friend like that
and yes, that friend is you.
" *ஃ*¸'★*ஃ'¸" ★*ஃ*"
" *ஃ¸'★" *ஃ* *ஃ*" ★'¸ஃ*" 1
10/2/2006
**********************************************************************
Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo,
Raat kaali sahi koi gham na karo..
Ik sitara bano jagmagatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho..
Baant'ni hai agar baant lo har khushi,
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi..
Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho..
Ashk anmool hain kho na dena kahin,
In ki har boond hai motiyoon se haseen..
In ko har ankh se tum churatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho..
Faaslay kam karo dil milatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho 1
9/28/2006
**********************************************************************
Aaj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya
9/28/2006
**********************************************************************
Koi Baat Aisi Kia Karo, Koi Lafz Aisa Kaha Karo
Milay Jis Say Dil Ko Qarar Sa, Koi Shair Aisa Parha Karo
Na Hi Dukh Main Is Ko Rakha Karo, Kabhi Sukh Bhi Is Ko Dia Karo
Yeh Udaas Hai Kaiey Roz Say, Merey Dil Main Aa K Raha Karo
Jo Kathan Kathan Say Hain Rastay, Yeh Sabhi Hain Kion Merey Wastay
Yeh Jo Jal Raha Hoon Main Aag Main, Kabhi Tum Bhi Is Main Jala Karo
Abhi Tak Tumhari Hi Aas Hai, Merey Dil K AB Bhi Tu Paas Hai
Hai Yeh Dil Tumharey Hisaar Main, Is Main Meri Jaan Raha Karo
Mera Din Ho Ya Meri Raat Ho, Faqat Ek Tumhari Hi Baat Ho
Abhi Jaisey Tum Merey Sath Ho, Yohn Hi Merey Sath Raha Karo
9/28/2006
**********************************************************************
Us ko mera halka sa ehsaas to hai
Be dard sahi woh meri humraaz to hai
Woh aaye na aaye mere paas lekin
Shidat se mujhe us ka intezaar to hai
Abhi nahi to kya hua mil hi jayengi kabhi
Mere dil main us se milan ki aas to hai
Pyaar ki gawahi mere aanoon se na maang
Barasti nahi aankhen magar dil uddas to hai
9/28/2006
**********************************************************************
chalo mein bataon kiya ho tum ?
Mere liye meri duniya ho tum.
Chu kar jo guzri woh hawa ho tum,
Mein ne jo mangi woh dua ho tum.
meri dunia jis se hai roshan woh diya ho tum,
Dil yeh kahey mera jiya ho tum.
Kiya mein ney mehsoos woh ehsaas ho tum,
Mere honto ki pyaas ho tum.
Mere baahon ki Aas ho tum,
Meri nazar ki talaash ho tum.
Meri zameen ka akaash ho tum,
Mere chehrey ki kashish ho tum.
Mere sitaron ki gardish ho tum,
Meri zindagi ka karaar ho tum.
Mein ney jo chaha woh pyaar ho tum,
Meray intizaar ki raahat ho tum.
Mere dil ki chaahat ho tum,
Tum ho to yeh duniya hai meri
kaisey kahoo key meri jaan ho tum !
9/28/2006
**********************************************************************
kabhi to shahar ki fiza mujhko khushgawar miley
tere labo pe tabassum nazar mein pyaar miley
hamari pyaas ka maayaar tha fakat tuhi
rahey hayaat mein dariya to beshumaar miley
hamari jaddo jehad thi fakat tere waastey
aasaan raastey to mujhko behisaab miley
teree khushboo se muattar hain fizaye bhee
chaman ke baharon ki mehek lataadaad miley
teree shadabiyo se raushan kabhie bahaar miley
mere bekaraar dil ko kabhi to karaar miley
9/28/2006
**********************************************************************
Teri Khaatir To Yeh Aankhein Paaien....
Me Bhula Doon Teri Soorat Kaisay....
Laash Parwanay Ki Aagay Se Hata De Koi....
Shama Masoom Hai, Badnaam Huwi Jati Hai....
Kon Deta Hai Mohabbat ko Parastish Ka Muqaam....
Tum Yeh Insaaf Se Socho To Dua Do Hum Ko....
Mohabbat Bandagi Hai, Iss Me Tan Ka Qurb Mat Mango....
Ke Jis Ko Choo Liya Jaaye Ussay Pooja Nahi Kartay....
Mumkin Ho Teray Baad Bhi Aati Ho Baharein....
Gulshan Me Teray Baad To Ja Kar Nahi Dekha....
9/28/2006
**********************************************************************
Bohat Hans Hans Ke Batein Kar Rahay Ho....
Dukhon Me Aur Izaafa Kar Liya Kiya ?
Bohat Nazdeek Aatay Ja Rahay Ho....
Bicharnay Ka Irada Kar Liya Kiya?
..................................................
Kiya Bhala Mujh Ko Parakhnay Ka Nateeja Nikla....
Zakhm-e-dil Aap Ki Nazron Se Bhi Gehra Nikla....
..................................................
Me Faqat Zindagi Se Darta Hoon....
Maut To Ail Baar Maaray Gi....
..................................................
Apni Tanhai Teray Naam Pe Aabad Karay....
Kaun Hoga Jo Tujhay Meri Tarah Yaad Karay....
..................................................
Aik Lamhay Me Jala Deti Hai Parwanay Ko....
Shama Kiya Khoob Mohabbat Ka Sila Deti Hai...
9/28/2006
main tera shahar chhoD jaooNga
is se pahale ki teri chashm-e-karam ma'azarat ki nigah ban jaye
pyar Dhal jaye
mere ashkon men arazoo ek ah ban jaye
mujh pe a jaye ishq ka ilzam aur too begunah ban jaye
main tera shahar chhoD jaooNga
is se pahale ki sadagi teri lab-e-Khamosh ko gila kah de
teri majabooriyaN na dekh sake aur dil tujhko bevafa kah de
jane main beKhudi men kya poochhooN
jane too beruKhi se kya kah de
main tera shahar chhoD jaooNga
is se pahale ki tere hoThon se Gair hoThon ke jam Takaraye
s se pahale ke zulf ke badal ajanabi bazuyon pe laharaye
aur teri bebasi ke nazare meri aNkhon pe ag barasaye
main tera shahar chhoD jaooNga
chhoD kar sahil-e-hayat chala ab safina mera kahin Thahare
zahar pina mera muqaddar hai aur tere honTh dil-nashin Thahare
kis tarah tere astaN pe rukooN jab na paNv tale zamin Thahre
main tera shahar chhoD jaooNga
9/28/2006
**********************************************************************
write ur name in Urdu in orkut:
click on the profile on left hand side menu list
click on edit profile
in first name : Aisha عائشھ
copy and paste from here
In Last name: Parkar پرکار
click on update.
click on home on top. 1
9/27/2006
**********************************************************************
Ay kAsH
Jo La Deta Mere Khwab Sare
Jo Meri Sumandar Ankhon Se Chun Leta Azab Sare
Jis Ki Sangit Me Mujhe Apne Hone Ka Ehsas Hota
Mera Har Ansoo Us Ke Liye Azab Hota
Par Ae Nadan Dil Mujhe Paata Hai
Mera Wajud Kis Miti Se Bana Hai
Mujh Ko Paata Hai Mere Saare Gham Mere Hain
Yeh Tanhaian Bhi Meri Hain
In Sumandar Ankhon Ke Azab Bhi Mere Hain Mera Har Ansoo Bhi Sirf Mera Hai
Rasm Wa Rawaj Ke Is Kafs Main Qaed Yeh Ruh Bhi Meri Hai
Mera Har Khwab Shisha Hai
Aur Yeh Insan Pathar Sare
Ae Kash Koi Aesa Hota......kash***
********************************************************************** Humara kia hai,Hum to chiraag-e-shab ki tarha
Agar Jalay bhi to buss itni roshni ho gi
Kay jaisay Tuund andheron mei koi Jugno Zara si dair ko chamakay..
Chamak kay kho jaye..
Phir uss k baad na kuch dekhaii de
Na shab katay na chirga-e-sahar dekhaii de
Humara kia hai hum to pus..Ghubar-e-Safar..
Agar chalay bhi to buss itni raah tay ho gi
Kay jaisay tund hawaoon ki zud mein Naqsh-e-Qadam
Zara si dair ko ubhray ubhar k mit jayen
Phir uss k baad na manzil na raah guzaar milay
Hadh-e-Nigah talak Dasht-e-Be-Kinaar milay
9/27/2006
**********************************************************************
Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deevaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi
9/27/2006
**********************************************************************
Hum ney soch rakha hey
chahey dil ki har
khawaish
zindagi ki aankhon se
ashk ban key beh jaye
chahey ab makeenon par
ghar ki sari deewarain
chat samait gir jain
aur bey-mukaddar hum
is badan key malbey mein
khud hi kioon na dab jain
tum se kuch nahin kehna
kaissi neend thi apni,
kaissey khawab they apney
aur ab gulabon par
neend wali aankhon par
naram-khu se khawab par
kioon azab tootey hein
tum se kuch nahin kehna
ghar gaye hein raaton mein
bey-libas baton mein
is tarhan ki raaton mein
kab chiragh jaltey hein,
kab azaab taltey hein
ab to in azaabon se
bach key bhi nikalney ka
raasta nahin jana!
jis tarhan tumhain sach key
lazawal lamhon se
wasta nahin jana!
hum ney soch rakha hey
tum se kuch nahin kehna
9/27/2006
**********************************************************************
Zahen k khayalon main
roh k ujalon main
zindagi ki jhelon main
zaat k faseelon main
ratjago k daman main
khawhish k aangan main
dil k khushk shera mian
chsam_E tar k darya main
ashk be zuban main bhe
aur kuch nahi rehta
TERI Yaad Rehti hai
9/27/2006
**********************************************************************
kabhi youn bhi ho mery rubaroo k meri nazar ko khabar na ho,,
mujhay aik raat nawan dey magar uss k baad sahar na ho,,,,,
wo barha raheem wa kareem hai mujhay yeh sefat bhi ataa karay,
tujhay bhoolnay ki dua karoon to meri dua mein asar na ho,,,,,,
9/27/2006
**********************************************************************
Woh kaun hai jiski raahoon ko takti hai nazar,
Woh kaun hai jisne kiya hai mujhko khud se behkhabar,
Woh akun hai jo mere pal pal mein shamil hai,
Woh kaun hai jo meri manzil hai,
Woh kaun hai jisay mein sunana chahta hoon, dekhna chahta hoon,
Bhan keh saya mere sung rehta hai kaun, meineh yeh na jana kabhi, aisa na tha haal mera pehla, haal yeh mera howa hai abhi,
Woh khwaab hai ya haqeeqat hai,
Woh sab se badh ker meri zaroorat hai
Woh Koi aur nahi..... TUM HO !!!!!
9/27/2006
**********************************************************************
sazaoon kay badlay,Dua hum nay ki the
jafaoon kaay badlaay,wafa hum nay ki the
sabhi kuch metaa kar,sabhi kuch bhoola kar
shikayaat bhi un saay kahan hum nay ki the
mohabat ka badla mohabat nahi hai
aulfaat kaay pechaay adawaat chupee hai
wo esaa karain gaay,wo esaa kahin gaay
aunhee kaylia saab kuch ganwaya
wo hum paar marain gaay,wo hum paar metaay gay,
yah chahat bhi un saay kahan hum nay ki the
zamanay ki chaloun ko samjho zara tum
mohabat main khud ko sambhalo bhala tum
tum ko chahain,tumein ko saarhain
yah qasmain bhi un saay kahan hum naay li theen
9/27/2006
**********************************************************************
Chahat Kay Is Dharay Per,
Darya Or Kenaray Per
DIL Ko Aaj Azaad Kia ,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Tanhaee Ke Ratoon Main,
Khud He Batoon Batoon Main
Is DIL Ko Yoon Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Jab Say Tum Ko Dekha Hay,
Jab Say Tum Ko Chaha Hay,
Har Ak Pal Faryaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Is Jewan Kay Nesaaboon Main,
Or Ratoon Kay Khawaboon Main,
Jaag Kay Bhi DIL Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Phool Ka Khilnay Say Phelay,
Tum Ko Milnay Say Phelay,
Khud Ko Tu Barbadd Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
9/27/2006
**********************************************************************
Taree zulfain bakharnay ko ghata kah doo to kaisa hoo
Taray aanchal kay urnay ko saba kah doo to kaisa hoo
Bazahar chup ho lakin phir bhee aankhoo main hain afsanay
Taree khamoshiyon ko bhee sada kah doo to kaisa hoo
Maray shikway shikyat par bhee mujh say pyar kartee ho
Taree chahat ko main sab say juda kah doo to kaisa hoo
Taree yadain maray dil par ajab sa shr kartee hain
Taree yadoo ko gar main aik nasha kah doo to kaisa hoo
Tumharay bin mujhay jeena bara dushwar lagta hai
Tumhain main apnay jeenay kee waja kah doo to kaisa hoo
Jo tum naraz na ho to mujhay aik bat kahnee hai
Agar main pyar say tum ko wafa kah doo to kaisa hoo....
9/27/2006
Rokte Rokte na Rok saka, usse qaid mai na kar saka
Na Dil ki Baat Suna saka, na Dil ki Khuwaish bata saka
Wo tha nahi pass mere par soch mai tha har ghadi
Na us ko mai bhula saka, na apne pass bula saka
Socha buhat ke baat karu, thodi usse jaan pehchan karu
Na batein uski sun saka, na Kissey apne suna saka
Yaad mai hai wo aik lamha, jo bus yaad bhan ke reh gaya
Na usko mai thaam saka, na Dil ki aag bujha saka
Es Hajom-e-duniya mai usko bhi hai talab shayad
Na phir wo mujhe dhoond saka, na pata mera chala saka
Mai bi kho gaya is duniya ke rash mai
NA MANZIL APNI PA SAKa,
NA HUM-SAFAR APNA SAKa... 1
9/27/2006
Suno dil ki samaa-at hai , meri bass ek chahat hai
Yehi kehna hai ab tum se, mujhai tum se mohabbat hai
Meri aankhon k tewar se faqat ehsaas to ho ga
Inhaiin parr ker samaj lo tum, muje tum se mohabbat hai
Khayalon aur Khaabon mein tumhin bass tumhi tum ho
Ajab is dil ki halat hai, mujhai tum se mohabbat hai
Kabee tanhayee mein muj se tasavvur mein jo milte ho
Yehi her baar kehta hoon , muje tum se mohabbat hai
Yun hi gum sum nahin betho , koi tum baat ker lo yaa
Ijazat ho to mein keh doon, mujhai tum se mohabbat hai
Mera dil muntazir hai ab , talab bass ik inayat hai
shayar ab dil se yeh keh do, mujhai tum se mohabbat hai 1
9/27/2006
**********************************************************************
Baataon baaton main bicharne ka ishara ker k
Khud bhe roya buhat woh hum se kinara ker k
sochta rehta hoon tanhaai main anjaam-e-wafa
phir usi jurm-e-mohbbat ko dobara ker k
jagmaga di hain tere shaher ki galyan main ne
apne her ashk ko palkon pe sitaara ker k
Dekh leta hain chalo hosla apne dil ka
aur kuchh roz tere saath guzaara ker k
aik he shaher main rehna hai magar milna nahi
dekhte hain yeh aziyat bhi gawara ker K
9/26/2006
**********************************************************************
chupana raaz is dil k agar tum chor do jana,,,
mujhay tum say mohabbat hai agar tum bol do jana,,,
to jeewan k safar me raasta asaan hojaye ,,,
hamaray pass bhi jeenay ka kuch saman hojaye ,,,
wagar na ham tumharay dil k darwazay k bahar ,,,
aas me baithay rahain gay ,,
k kabhi to band darwazay ko kholoo gii...
meray shanay pay sir rakh kar khabhii dheeray say boloo gii ,,
MUJAY TUM SAY MOHABBAT HAI!!!!!!!!!!!!
9/26/2006
**********************************************************************
ye jo zeest ka safer hai,
yeh jo rasta hai mera.
Tum agar na saath doon ge,
To ye kistarha katay ga?
Meri soch ki hado tak,
yeh guman bhi kaisey aey?
Koi pal
Bina tumharay........
Bhala kaisey beet jaey?
Mere paas Tum nahi ho?
Mere paas kab nahi ho?
Meri har dua ka mehvar,
Bas
ARZO TUMHARI!
Is arzo se agey,
Koi rasta nahi hai.
TUMHEIN kisqadar hai CHAHA......
Yeh Tumhein.........
PATA NAHI HAI
9/26/2006
**********************************************************************
Kaise bataaoon main tumhe Mere liye tum kaun ho,
Kaise bataaoon main tumhe Tum dhadkanon ka geet ho
Jeevan ka tum sangeet ho Tum zindagi tum bandagi
Tum roshni tum taazgi Tum har khushi tum pyaar ho
Tum preet ho manmeet ho Aankhon mein tum
yaadon mein tum Saanson mein tum aahon mein tum
Neendon mein tum khwaabon mein tum
Tum ho meri har baat mein
Tum ho mere din raat mein
Tum subaah mein tum shaam mein Tum
soch mein tum kaam mein
Mere liye paana bhi tum Mere liye khona bhi tum
Mere liye hasna bhi tum Mere liye rona bhi tum
Aur jaagna sona bhi tum
Jaaoon kahin dekhoon kahin Tum ho vahan,
tum ho vahin Kaise bataaoon main tumhe Tum bin to main kuch bhi nahin
Aanchal mein yeh parchhaaiyaan Yeh nagriyaan hai khwaab ki
Kaise bataaoon main tumhe Haalat dil-e-betaab ki
Kaise bataaoon main tumhe Mere liye tum kaun ho Kaise bataaoon,
kaise bataaoon Kaise bataaoon main tumhe...
Mere liye tum dharam ho Mere liye imaan ho
Tum hi ibaadat ho meri Tum hi to chaahat ho meri
9/22/2006
********************************************************************** Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Mare Khaamoshi Ko Sadaa Na De,
Jo Tare Baghair Na Jee Sake,
Use Jeene Ki To Duaa Na De,
To Azeez Dill-o-nazar Se Hai,
To Qareeb Rag-o-jaan Se Hai
Mare Jism-o-jaan Ka Yeh Faasla,
Kaheen Waqt Aur Barhaa Na De,
Tujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na De,
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha isey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De,
Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day,
9/22/2006
**********************************************************************
tumhare liye...
agar talash karoo to koi mil hi jai ga
per hamari tarah kon tumhay chahya ga
tumhay zarore koi chahtaoon say dekhay ga
per woh ankhain hamari kahan say laayya ga
tumharay sath ye mosam baharoon jaisa hai
tumharay baad ye mosam bohat rulayy ga.....
Maar hi daal mujhe Chashm-e-Ada se pahle
Apni Manzil ko Pahunch jaoon Qaza se pahle
Ek Nazar Dekh loon aa jao Qaza se pahle
Tum se milne ki Tamanna hai Khuda se pahle
Hashr k Roz mai poochoon ga Khuda se pahle
Tu ne Roka nahi kyun Mujh ko Khata se pahle
Ae Meri Maut, Thehar Unko Zara ane de
Zehar ka Jaam na de Mujh ko Dawa se pahle
Hath Pohunche bhi na the Zulf-e-dost tak "Momin"
Hathkari dal di Zalim ne Khata se pahle