Shadab Ansari Emails are now shared on Blogspot.

Wednesday, April 8, 2009

Mohabbat !!!!

Mohabbat aag hai to phir
meri rug rug main bharki hai
meri ankhiin hain ek shoula,meri saansien hain ek agan
a'laoo teri yaadoon ka mere dil mainn kahien roshan;
mujhi abh fiker hai koi na koi gharz hai iss se
ke teri yaad mein shab bhar
wafa ka naam lay lay kar
kahien hum khud hi jaltay hain ya k deep jaltay hain!!!
 
 
Mohabbat yaad hai to phir
mere dil mien hai yun raksaaN
ke hum ko fiker hai koi, na hi hosh hai baki
faqt ek yaad hai baki
jo dil ki baanjh dharti per, ashkoon sang baras jaye
to phir barsat ki le mein
kahien ek phool khilta hai
hum us phool ki khushbu tumharay naam kartay hain
tumhari yaad mein aksar subah se shaam kartay hain!!
 
Mohabbat gar samandar hai
to phir__ meri wafaoon ke
sabhi ghohar o sadaf us ki, ghahrayi main bastay hain
k mere dil mein phala hai
ajab chahat ka ye sagar
haan jiski akhri hadd se
sabhi thahray se jazboon ko
yun humkinaar karna hai
mila kar ankh ka dariya__iss behr e kinaar ko
be_kinaar karna hai!!!
 
Mohabbat dasht hai koi
to phir__pairoon mein abh mere
nahi hai larzishien baki
mere pairoon se uljhay hain
jo ye rastay sab hi,
mujhi tere janoon o shouq mein
__ek safar la_haq hai
ke jis ke mor per akhir_ mujhi bhatak hi jana hai
aur yun hum ek tasalsul se
teri janib rawaN iss ek
musalsal hi safar ki bas
ghubaar o gard hi thahray
ke hum se khaaksaar to...
'sahra nord' hi thahray
 
 
Mohabbat gar koi khushbu
to phir...hum sir-khushi ke ek
numayaN dairay mien hain
ke jis k gird phili ye tere lams ki mahkaar
meri saanson mein shamil hai,
mere dil se nigahon tak
kaee aarasta rastay
teri hi simt atay hain
suhanay geet gaatay hain,
mujhi teri chahat mien
yun in ka sath hasil hai
ke mujh per ab nahi zahir
manzil hai meri "khushbu"
ke khusbu hi "manzil" hai!!!
 
*************************************
Mohabbat khwab hai koi
to phir khwabeeda ye ankhien
kaee neendon ke ek ghahray hisaar e sehr mien hain qaid
meri palkon pe hain bethay kaee hi an ginat sapnay
ke jin ki manzilon ke ab
ameen tumhi to ho thahray
humari khwab nagri ke
makeeN tumhi to ho thahray,
so iss ahd e Mohabbat mien
nahi abh dar koi la_haq
muqabil andhioon ke in
roshan sab charagon ki__ abh tabeer ho jesi!!
 
 
Mohabbat gar fasana hai
to phir... inkaar hai hum ko
ke meri ankh mein roshan,tumharay naam ke jugnu
mere dil mien darkhshaN sab tumhari yaad ke pehlu
meri sochon pe haavi wo tumhari qurb ki khushbu
mere jazboon ki sachayi, wafaoon ke rang o lahoo
koi farzi kahani hain
na hi afsana koi
mohabbat aieena sorat
ke jis mien sabat hu_ba_hu, ek aks e haqeeqat hai
Mohabbat to Mohabbat hai!
kabhi dasht o samandar hai kabhi aag ki sorat
kabhi yaadon ki khusbu kabhi khwab ki sorat
magar abh ras hai hum ko
mohabbat ke sabhi mousam, mohabbat ki hir ek sorat
ke sab mansoob hain tujh se
mohabbat ke haseen rastay
mohabbat ke sabhi dariya...
teri janib rawaaN hain...yun
ke chahat ke sabhi mousam
kisi ek khaas nuktay per___
khud mein gum hojayien
sarapa tum hojayien!!
Mohabbat tum hi thahray,
mohabbat gar tumhi thahray
to phir raahon mein haail in
bichraay sab hi barsoon ki
qasm hai mere jazboon ko
ke wo tajdeed kar daalien, faqt itna hi kah daalien
"ke kal bhi dast e ulfat ko ek matloob tum hi thay
abh bhi mere lafzoon se bas maqsood tum hi ho:
kal bhi tum se thi poori
meri be_hadd adhoori zaat
abh bhi mere jeewan ki
bas ek hi zaroorat hai
humhien iqraar tha kal bhi
humhien iqraar hai abh bhi
humhien tum se mohabbat thi
humhien tum se mohabbat hai!!!"

No comments:

Post a Comment

About Me

My photo
Malegaon, Maharashtra, India
SHADAB AHMED ANSARI , Shadab Ansari : I am a JDE CNC Consultant by profession. I have done B.E. (Electronics & Telecommunication) I have great interest in Urdu Literature, Urdu Poetry, History, Technology and Islamic Studies.