Shadab Ansari Emails are now shared on Blogspot.

Wednesday, April 8, 2009

In dooriyo se pyaar kisko hai..!!

Kismat pe aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch majboriya hai meri warna,
In dooriyo se pyaar kisko hai..!!


Teri dosti hum is tarha nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se warna,
Ye bheegi palke lekar hum kaha jayenge..!!


Aasmaan hamse naraaz hai,
Taaron ka gussa behisaab hai,
Woh sab mujhse jalte hai,
Kyuki chand se behtar DOST mere paas hai..!!



Phoolon mein haseeen gulab hai,
Husn ke saath zaroori sharab hai,
Duniya mein har sawal ka jawab hai,
Agar koi tumse mere baare mein pooche,
To kehna ke wo shaks laajawab hai..!!



Chand lamhon ki zindagani hai,
Nafrato se jiya nahi karte,
Lagta hai dushmano se ab guzarish karni padegi,
Dost to ab yaad kiya nahi karte..!!



Na muskurane ko dil karta hai,
Na aanshu bahane ko dil karta hai,
Kya kahe jab aapki yaad aati hai,
Aapke paas aane ko dil karta hai...!!!



Windows Live Messenger. Multitasking at its finest.

No comments:

Post a Comment

About Me

My photo
Malegaon, Maharashtra, India
SHADAB AHMED ANSARI , Shadab Ansari : I am a JDE CNC Consultant by profession. I have done B.E. (Electronics & Telecommunication) I have great interest in Urdu Literature, Urdu Poetry, History, Technology and Islamic Studies.