Milti hi nahi us ko mulaqat ki rahain
Aur mujh ko na milnay ka bahana nahin milta
*****
Itne Qareeb aao k jee bhar k daikh loon !!
Shayad k phir milo to yeh zauq e nazar na ho
*******
uth ker to aa gay hain teri bazm say magar
kuch dil hi jaanta hay ke kis dil say aey hain
******
Na haath thaam sake, na pakar sake daaman
Bohot qareeb se ut'h kar chala gaya hai koi
***********
Aaj us ne mizaaj poocha tha
jee main aya, is qadar keh doon
aap ki be' etinaiyon ke sabab
Zindagi maut se bhi bad'tar hai
per nahi, kuch nahi kaha main ne
woh narum dil ka malik hai
baat sunn'ta uddas ho jata
haan magar iss'qadar kaha main ne
Hall pehlay se kuch to bihtar hai
***********
Rah e wafa main koi akhari maqam nahi
Shikast e dil ko mohabat ki inteha na samjh
Her aik sahib e manzil ko bamurad na jan
Her aik rah nasheen ko shikasta paa na samjh
**************
Aaj hi to kisi se becharre hain
Aaj ki raat chand'ni kiyoon hai
Na aaj lutf kar itna kay kal guzer na skay
Wo raat jo tere gasuoo(n) kee raat naheen
Ye aarzoo bhi barri cheez hai magar ham-dum
Visaal-e-yaar faqat aarzoo kee baat naheen
**************
Na ji bhar ke daikha Na kuch baat ki
Barri aarzoo thi mulaqat ki
Main chup tha to chalti hava rukh gai
Zubaan sub samjhte hain jazbaat ki
Kayi saal se kuch khaber hi nahi
Kahaan din ghuzaara, Kahaan raat ki
*******************
Nakaam si koshish kiya karte hain
Hum hain ki unse pyar kya karte hain
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain....
R*************
Ek Ada Aapki Dil Churaane Ki
Ek Ada Aapki Dil Main Bus Jaane Ki
Ek Chehra Aapka Chaand Sa
Ek Zid Humari Chaand Ko Paane Ki...
***************
Aisa lagta hai zindagi tum ho
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
justujoo meri aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeedein!
Kis zamaane ke aadmee tum ho
**************
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
************
muhabbat karane wale kam na ho.nge
teri mahafil mein lekin ham na ho.nge
zamaane bhar ke Gam yaa ik tera Gam
ye Gam hogaa to kitane Gam na ho.nge
dilo.n ki uljhane ba.Dhati rahe.ngii
agar kuchh mashware baaham na ho.nge
agar tu ittefaaqan mil bhii jaaye
teri furqat ke sadame kam na ho.nge
***********
Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?
*********************
Zameen Per Bhaij Diya, Khair Muslihat Uss Ki
Tum ko to Chaand Banana Tha Aasmaan kay liye
Tujhe Izhaar-e-Mohabbat se agar Nafrat hai
Tuu ne Honton ko Larazne se to Roka hota
Be-Niyaazi se, Magar kaanpti Awaaz ke saath
Tuu ne Ghabra ke Mera Naam na poocha hota
Tere bas mein thi agar Mash'al-e-Jazbaat ki Lau
Tere Rukhsaar mein Gulzar na Bharka hota
Yun to Mujh se hoi sirf Aab-o-Hava ki Baatein
Apne Toote hoe Fiqron ko to Parkha hota
Yun hi Be-wajah Thithakney ki Zururat kya thi
Dam-e-Rukhsat main agar Yaad na aaya hota
Tera Ghammaz bana khud Tera Andaaz-e-Khiraam
Dil na Sambhlaa, to Qadmon ko Sambhala hota
Apne badle Meri Tasveer Nazar aa jaati
Tuu ne us waqt agar Aainaa dekhaa hota
*******
zindagee jabr-e-musalsil key siwa kuch bhee nahin
log na janey kion jeeney kee duayen detey hein
*******
ashaar mere yuun to zamaane ke liye hain
kuchh sher faqat unko sunaane ke liye hain
ab ye bhii nahiin thek ki har dard mitaa dein
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hain
ye ilm kaa saudaa ye risaale ye kitaabein
ik shakhs kii yaadon ko bhulaane ke liye hain
*******
Shoq-e-tamanna hai jo jata nahi hai
Jab se tujhe socha hai koi bhata nahi hai
Ye ishq haqeeqat main samandar ki tarah hai
Jo doob gaya phir wo nikal pata nahi hai
*******
us shehar say guzro tou itna usay kehna
baaqi na sunain sirf tanha usay kehna
kuch log safar k liaay hotay nahin mozoon
kuch raasaty kattay nahin tanha usay kehna
*******
Mujh se bichar kar khush rehte ho
meri tarha tum bhi jhootay ho
*******
umer jalwo mein basar ho ye zaroori to nahi
har shabe gham ki sehr ho ye zaroor to nahi
neend to dard k bistar pe be asakti hai
tere aghoosh mein sir ho ye zaroori to nahi
*******
Iss se pehle k bewafa ho jayen
kuyn na aiy dost hum juda ho jayen
Tu be hire se ban gaya pather
Hum be jane kal kia se kia ho jayen
Manzilain gar na ban payen
manzilon tak ka rasta ho jayen
Bandagi hum ne chor di hai faraz
Kia karain log jab KHUDA ho jayen
*******
woh geet jo tum ney suna nahin , meree umer bher kaa ryaaz thaa
merey durd kee thee woh daastaan jissey tum hansee mein urra gaye
*******
tumharee nigahien bahut boltee hein
zara en per pulkein gira lo
*******
shab bhar tumhari yaad ki mehfil jami rahi
shab bhat hamaray dil ki fiza reshmi rahi
youn boond boond dil main uterta raha koi
ehsaas-o-aarzoo ki kali shabnami rahi
gulsham main ab k baar bhi aayi to thi bahaar
lekin hamaray shoq hi main kuch kami rahi
jaga kiyay deewanay chiraghoon kay sath sath
yaanee hawa tuloo-e-seher tak thami rahi
*******
mein kis kay haath pay apna lahoo talash keroon
tamam shehar nay pehney huay hein dastanay
*******
ham nay kaati hain teri yaad mai raatain aksar
dil say guzri hain sitaaron ki baraatain aksar
ham say ik bar bhi jeeta hai na jeetay ga koi
wo to jan kar kha laitay hain ham maatain aksar
ham nay un tund hawaoon mai jalain hain charaagh
jin hawaoon nay ulat dee hain bisaatain aksar
*******
ye jo dewane se do char nazar aate hain
in main kuch sahib e asrar nazar aate hain
teri mehfil ka bharam rakhte han so jaate hain
warna ye loog to baidar nazar aate hain
kal tak jinhein choo na sakti thi farishtoon ki nazar
Aaj wo ronaq e bazar nazar aate hain
mere daman main to kaanton k siwa kuch bhi nahi
AAP phoolon k kharidar nazar aate hain
HASHAR MAIN KON GAWAHI MERI DEGA SAGAR
SAB TUMHARE HI TARAFDAR NAZAR AATE HAIN
*******
lafz jab tak wazoo nahi kertey
hum teri goftagoo nahi kertey
to mila hey on bey wafaoon ko
jo teri arzoo nahi kertey
*******
Safar main dhoop to hogi jo chal sako to chalo
Sabhi hain bhiir main tum bhi nikal sako to chalo
Kisi ke waaste raahein kahaan badalti hain
Tum apne aap ko khud hi badal sako to chalo
YahaaN kisi ko koi raasta nahin deta
Mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
Yahi hai zindagi kuch khwaab chand ummidein
Inhin khilonon se tum bhi behal sako to chalo
*******
Haan wo nahin khuda parast,
Jaoo wo bewafa sahi,
Jis ko ho deen o doil azeez,
Uski gali main jaeen kiun.
*******
Wo nigah unn ki majaz thi, kabhi uthh gai kabhi jhuk gai,
Tu Raees* ham sai yehi hoa, kabhi ji uthhai kabhi mar gai
*******
Koi tum se pooche kaun hoon main ?
Tum kahe dena koi khaas nahi
Ek dost hai kachcha pakka sa
Ek jhoot hai aadha sachcha sa
Jazbaat ko dhaanpe ek perda
Bas ek bahana achcha sa
Zindagi ka ek aisa saathi hai
Jo door ho kar pass nahi
Koi tum se pooche kaun hoon main ?
Tum kahe dena koi khaas nahi
***********
Tum Neel Gagan Pe Rehti Ho
Ham Iss Dharti Ke Baasi Hein
Tum Pyar Ke Sundar Sapna Hou
Hum Sapney Wali Aankhein Hein
Tum Jharnoun Mein Bajta Sundar Geet
Ham In Mein Behta Paani Hein
Iss Jiwan Ka Ek Saaz Ho Tum
Ham Iss Mein Penhaan Sur Sangeet
Tum Laakhoun Diloun Ki Dharkan Ho
Ham Sirf Aur Sirf Tumharey Meet
Tum Jhuki Jhuki Si Akhyaan Ho
Ham In Mein Khayal Ka Partau Hein
Tum Labmi Ghaneir Ki Zulfein Ho
Ham In Mein Basi Ek Khushboo Hein
Tum Neel Gagan Pe Rehti Ho
Ham Iss Dharti Ke Baasi
****
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
Kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
Lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
Gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
Kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
Muhabbat karane wale kam na ho.nge
Teri mahafil mein lekin ham na ho.nge
Zamaane bhar ke Gam yaa ik tera Gam
Ye Gam hogaa to kitane Gam na ho.nge
Dilo.n ki uljhane ba.Dhati rahe.ngii
Agar kuchh mashware baaham na ho.nge
Agar tu ittefaaqan mil bhii jaaye
Teri furqat ke sadame kam na ho.nge
Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
Joostjoo meree aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane ke aadmee tum ho?
Zameen Per Bhaij Diya, Khair Muslihat Uss Ki
Tum ko to Chaand Banana Tha Aasmaan kay
******
Na aaj lutf kar itna kay kal guzer na skay
Wo raat jo tere gasuoo(n) kee raat naheen
Ye aarzoo bhi barri cheez hai magar ham-dum
Visaal-e-yaar faqat aarzoo kee baat naheen
Na ji bhar ke daikha Na kuch baat ki
Barri aarzoo thi mulaqat ki
Main chup tha to chalti hava rukh gai
Zubaan sub samjhte hain jazbaat ki
Kayi saal se kuch khaber hi nahi
Kahaan din ghuzaara, Kahaan raat ki
Nakaam si koshish kiya karte hain
Hum hain ki unse pyar kya karte hain
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain....
Ek Ada Aapki Dil Churaane Ki
Ek Ada Aapki Dil Main Bus Jaane Ki
Ek Chehra Aapka Chaand Sa
Ek Zid Humari Chaand Ko Paane Ki...
Aisa lagta hai zindagi tum ho
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee
Justujoo meri aakhree tum ho
Doston-se wafa ki ummeedein!
Kis zamaane ke aadmee tum ho
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
Kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko
**************
Milti hi nahi us ko mulaqat ki rahain
Aur mujh ko na milnay ka bahana nahin milta
Itne Qareeb aao k jee bhar k daikh loon !!
Shayad k phir milo to yeh zauq e nazar na ho
Uth ker to aa gay hain teri bazm say magar
Kuch dil hi jaanta hay ke kis dil say aey hain
Na haath thaam sake, na pakar sake daaman
Bohot qareeb se ut'h kar chala gaya hai koi
Aaj us ne mizaaj poocha tha
Jee main aya, is qadar keh doon
Aap ki be' etinaiyon ke sabab
Zindagi maut se bhi bad'tar hai
Per nahi, kuch nahi kaha main ne
Woh narum dil ka malik hai
Baat sunn'ta uddas ho jata
Haan magar iss'qadar kaha main ne
Hall pehlay se kuch to bihtar hai
Rah e wafa main koi akhari maqam nahi
Shikast e dil ko mohabat ki inteha na samjh
Her aik sahib e manzil ko bamurad na jan
Her aik rah nasheen ko shikasta paa na samjh
Aaj hi to kisi se becharre hain
Aaj ki raat chand'ni kiyon hai
**************
Uss shaks say wabasta khush fahmi ka ye aalam hai
Maut ki hichki aai to main samjha k uss ne yaad kia
*************
Socha Nahi Acha Bura
Socha nahi acha Bura, Dekha Suna kuch b nahi
Manga Khuda se raat din, Tere siwa Kuch b nahi
Dekha Tujhe Chaha tujhe, Socha Tujhe Pooja Tujhe
Meri Wafa Meri Khata, Teri Khata kuch b nahi
Jis per Hamari Aankh ne, Moti bichaye Raat bhar
Bheja wohi Kagaz usey, Hum ne likha Kuch b nahi
Aur Ek Shaam ki Dehleez per, Bethey rahe wo Dair tak
Aankhon se ki Batain boht, Munh se kaha kuch b nahi
Do-Chaar din ki Baat hai, Dil Khaak mai mil jaye ga
Aag per jab Kagaz rakha, Baqi bacha Kuch b nahi
*******************
Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi,
Ye Teri Tarah Mujhse To Kuch Kahe Na Sakegi.
Main Baat Karunga To Ye Khamosh Rahegi,
Seene Se Laga Loonga To Ye Kuchh Na Kahegi.
Aaraam Wo Kya Degi Jo Tadpa Na Sakegi,
In Hoton Ko Mere Kuchh woh De Na Sakegi
Mari Zulf Main Haath Tu Pher Na Sakegi,
Uljhi Hui Raaton Ko Ye Suljha Na Sakegi,
Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi
*******************
Tu is qadar mujhe apne qareeb lagtaa hai
Tujhe alag se jo sochoon, ajiib lagtaa hai
Jise na Husn se matlab na ishq se sarokaar
Woh shaksh mujh ko bahut bad-nasiib lagtaa hai
Huduud-e-zaat se baahar nikal ke dekh zaraa
Na ko'ii Ghair, na ko'ii raqeeb lagtaa hai
Ye dostii, ye maraasim, ye chaahatein ye Khuluus
Kabhii kabhii ye sab kuch ajiib lagtaa hai
Ufaq pe duur chamaktaa hua koi taaraa
Mujhe charaagh-e-dayaar-e-Habeeb lagtaa hai
Na jaane kab ko'ii tuufaan aaye gaa yaaro
Buland mauj se saahil qareeb lagtaa
********************
Kab say hai hum ko yeh intezaar
Kar do na tum bhi iqraar
Bus keh do ki hai tum ko bhi
Hai tum ko bhi utna hi pyar
Tera diwana hoon, inkaar nahi
Kaise keh doon kay tujhse pyar nahi
Kuch shararat teri aankho ki bhi hai
Main tanhaa to gunehgaar nahi
Pyar kehte hain, mohabbat kehte hain
Kuch log isay bandagi kehte hain
Magar jin pay hain hum martay
Hum unhain zindagi kehte hain
Musqurate Hai To Bijliya Gira Dete Hain
Baat Karte Hein To Deewana Bana Dete Hain
Husan walo Ki Nazar Kam Nahi Kyamat Se
Aag Pani Me Vo Nazaro Se Laga Dete Hain
************
Kitni Be-chain hai ye Sansein Meri
Bina Tere boht Roti hai ye Aankhein Meri
Aa ker lag ja Gale, k ab raha nahi jaata
Dil Bhoole se b nahi Bhoolta wo Batain Teri
Kab se Meri Aankho ko Neend aati nahi hai
Bahein mangti hai Mujh se Ratain Teri
Tuu chali jati hai to Jaan nikal jati hai
Tere aane se Laut aati hai ye Sansein Meri
Meri Rooh mai bas ker Tum ja paoge kaha tak Janam
Laut k le ayegi phir paas Tumhein Wafayein Meri
Jaan Wapas aa jao k ab Dil kahin lagta hi nahi
Tum ko bula rahi hai ye Bahein Meri
Kitni Be-chain hai ye Sansein Meri
Bina Tere boht roti hai ye Aankhein Meri
**********************
Hum Se Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Kabhi Aansoon Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Hoe Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil K Kaghaz Par Utarta Hai Tu Sheron Ki Tarah
Mere Hontoon Pe Machalta Hai Tu Naghma Banker
Raat Bhi aaye Tu Bujhti Nahi Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Giya Hai Wo Ujala Banker
Mera Kiya Hall Hai Yeh A K Kabhi dekh Tu Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Howa Vada Banker
Dhoup Main Kho Giya Wo Haath Chura Kar SHADAB
Gher Se Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aanson Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Se Her Shaam Mili Hai Tera Chehra
**************
Ham Se Kia Pochte Ho Hijr Mein Kia Kerte Hein
Tere Laut Aane Ki Din Raat Dua Kerte Hein
Ab Koi Hont Nahi In Ko Churane Ate
Meri Ankhon Mein Agar Ashk Hua Kerte Hein
Teri Tu Jane, Per Ai Jan-E-Tamna Ham To
Saans Ke Sath Tujhe Yad kia Karte Hein
Tu Hi Pehloo Mein Nahi Warna December Mein Wahin
Dhoop Mein Beth Ke Akhbar Parha Kerte Hein
Teri Tasveer Laga Lete Hein Ham Seene Se
Phir Tere Khat Se Teri Baat kia Karte Hein
Gar Tujhe Chorne Ki Soch Bhi Aye Dil Mein
Ham To Khud Ko Bhi Wahin Chor Diya Kerte Hein
*********
Mohabbat aag hai to phir
Meri rug rug mein bharki hai
Meri ankhein hain ek shoula,meri saansien hain ek agan
Alaoo teri yaadoon ka mere dil mein kahien roshan;
Mujhi ab fiker hai koi na koi gharz hai iss se
Ke teri yaad mein shab bhar
Wafa ka naam lay lay kar
Kahien hum khud hi jaltay hain ya k deep jaltay hain!!!
Mohabbat yaad hai to phir
Mere dil mien hai yun raksaan
Ke hum ko fiker hai koi, na hi hosh hai baki
Faqt ek yaad hai baki
Jo dil ki baanjh dharti per, ashkoon sang baras jaye
To phir barsat ki le mein
Kahien ek phool khilta hai
Hum us phool ki khushbu tumharay naam kartay hain
Tumhari yaad mein aksar subah se shaam kartay hain!!
Mohabbat gar samandar hai
To phir meri wafaoon ke
Sabhi gauhar o sadaf us ki, ghahrayi main bastay hain
K mere dil mein phaila hai
Ajab chahat ka ye sagar
Haan jiski akhri had se
Sabhi tahere se jazboon ko
Yun humkinaar karna hai
Mila kar ankh ka dariya iss behr e kinaar ko
Be-kinaar karna hai!!!
Mohabbat dasht hai koi
To phir__pairoon mein abh mere
Nahi hai larzishien baki
Mere pairoon se uljhay hain
Jo ye rastay sab hi,
Mujhi tere janoon o shouq mein
__ek safar la_haq hai
Ke jis ke mor per akhir_ mujhi bhatak hi jana hai
Aur yun hum ek tasalsul se
Teri janib rawan iss ek
Musalsal hi safar ki bas
Ghubaar o gard hi thahray
Ke hum se khaaksaar to...
'Sahra nord' hi thahray
Mohabbat gar koi khushbu
To phir...hum sir-khushi ke ek
Numayan dairay mien hain
Ke jis k gird phili ye tere lams ki mahkaar
Meri saanson mein shamil hai,
Mere dil se nigahon tak
Kaee aarasta rastay
Teri hi simt atay hain
Suhanay geet gaatay hain,
Mujhi teri chahat mien
Yun in ka sath hasil hai
Ke mujh per ab nahi zahir
Manzil hai meri "khushbu"
Ke khusbu hi "manzil" hai!!!
Mohabbat khwab hai koi
To phir khwabeeda ye ankhien
Kaee neendon ke ek ghahray hisaar e sehr mien hain qaid
Meri palkon pe hain bethay kaee hi an ginat sapnay
Ke jin ki manzilon ke ab
Ameen tumhi to ho thahray
Humari khwab nagri ke
Makeen tumhi to ho thahray,
So iss ahd e Mohabbat mien
Nahi abh dar koi la_haq
Muqabil andhioon ke in
Roshan sab charagon ki__ abh tabeer ho jesi!!
Mohabbat gar fasana hai
To phir... Inkaar hai hum ko
Ke meri ankh mein roshan,tumharay naam ke jugnu
Mere dil mien darkhshan sab tumhari yaad ke pehlu
Meri sochon pe haavi wo tumhari qurb ki khushbu
Mere jazboon ki sachayi, wafaoon ke rang o lahoo
Koi farzi kahani hain
Na hi afsana koi
Mohabbat aieena sorat
Ke jis mien sabat hu_ba_hu, ek aks e haqeeqat hai
Mohabbat to Mohabbat hai!
Kabhi dasht o samandar hai kabhi aag ki sorat
Kabhi yaadon ki khusbu kabhi khwab ki sorat
Magar abh ras hai hum ko
Mohabbat ke sabhi mousam, mohabbat ki hir ek sorat
Ke sab mansoob hain tujh se
Mohabbat ke haseen rastay
Mohabbat ke sabhi dariya...
Teri janib rawaan hain...yun
Ke chahat ke sabhi mousam
Kisi ek khaas nuktay per___
Khud mein gum hojayien
Sarapa tum hojayien!!
Mohabbat tum hi thahray,
Mohabbat gar tumhi thahray
To phir raahon mein haail in
Bichraay sab hi barsoon ki
Qasm hai mere jazboon ko
Ke wo tajdeed kar daalien, faqt itna hi kah daalien
"ke kal bhi dast e ulfat ko ek matloob tum hi thay
Abh bhi mere lafzoon se bas maqsood tum hi ho:
Kal bhi tum se thi poori
Meri be_hadd adhoori zaat
Abh bhi mere jeewan ki
Bas ek hi zaroorat hai
Humhien iqraar tha kal bhi
Humhien iqraar hai abh bhi
Humhien tum se mohabbat thi
Humhien tum se mohabbat hai
***************
Unko humse mohabbat nahi ye humne tab jaana
Jab unki mohabbat ne kar diya humko deewana.
————————————–
Jis Shaam Mere Lab Per Tera Naam Na Aaye,
Khuda Kare Aisi Shaam Na Aaye….
Aai Jaane Wafa, Ye Kabhi Mumkin Hi Nahin,
Afsaana Likhnu Aur Tera Naam Ma Aaye
**************
Badalna ata nahi humein mousamon ki tarha
Har ek rut mein tara intizaar kartay hain
Na tum samait sako gi jisay qayamat tak
Qasam tumhari tumhay itna pyaar kartay hain
*******************
Tumhain Kaisay Main Bataoon Tumhain Kasiay Main Kahoon
Maray Bus Main Aghar Ho Tu Main Bus Itna Hi Karoon
Tumhain Din Bhar Tumhain Har Pal Dekhta Hi Main Rahoon
Tumhain Dekhoon Tumhain Chahoon Tumhain Paoon Har Pal
Tumain Souchoon Tumhain Samjhoon Tumhain Mangoo Har Pal
Tumhain Main Gun Gunaoon Tumhain Gaoon Har Pal
Main Tumhara Hoon Asa Dewaana Meri Jaan
Mera Marna Bhi Tumhi Ho Mera Jeena Bhi Ho Tum
Meri Sharaab Bhi Tumhi Ho Mera Nasha Bhi Ho Tum
Meri Chandi Bhi Tumhi Ho Mera Soona Bhi Ho Tum
Mera Hasna Bhi Tumhi Ho Mera Roona Bhi Ho Tum
Meri Sari Sansoon Main Tum Jaisay Hoo Ghooli
Meri Ankhain Tumhain Dekhay Chahay Band Ho Ya Kholii
Main Tumhara Hoon Asa Dewaana Meri Jaan
Maray Dil Main Hai Ye Armaan Tumhain Ek Din Paoon
Is Amber Say Bhi Aghay Tumhain Lay Kar Jaoon
Jahan Rahoon Main Ho Bekhray Sab Chand Or Taray
Jahan Gheetoon K Behtay Hoon Meethay Dharay
Jahan Khuaaboon Ki Duniyaa Kabhi Soyee Nahin Hoo
Jahan Tum Ho Jahan Main Hoon Or Koi Nahin
*********************
Chalo mein batao kya ho tum,
Meray liye meri duniya ho tum,
Chu kar jo guzri woh hawa ho tum,
Mein ney jo mangi woh dua ho tum,
Karey mujh ko jo roshan woh diya ho tum,
Dil yeh kahey mera jiya ho tum,
Kiya mein ney mahsoos woh ehsaas ho tum,
Meray honto ki pyaas ho tum,
Meray baahon ki aas ho tum,
Meri nazar ki talaash ho tum,
Meri zameen ka akaash ho tum,
Meray chehrey ki kashish ho tum,
Meray sitaron ki gardish ho tum,
Meri zindagi ka karaar ho tum,
Mein ney jo chaha woh pyaar ho tum,
Meray intizaar ki raahat ho tum,
Meray dil ki chaahat ho tum,
Tum ho to yeh duniya hai meri,
Kaisey kahoo key meri haan ho tum
*****************
Tanhayee ke aalam mein kya boloon mujh ko kaisa lagta hai
Ek ek lamha bhi iss mein sadiyon jaisa lagta hai
Sookhe patton ki aahat ab bhi mujh ko chonkati hai
Yaad hai mujh ko un per chalna tum ko achcha lagta hai
Honton ki hansi se hum ne dard chupaya hai lekin
Aankhon ki surkhi se to dil bhi roya lagta hai
Main to apne aap ko aksar yeh samjhata raheta hoon
Tu sab kuch hai phir bhi aakhir tu mera kya lagta hai
Apni aankhon mein khwabon ko log sajay baithe hain
Khwabon ka saudagar phir se shaher mein aaya lagta hai
Dil k bahelane ko sab se kaheta hoon main khush hoon
Sach poocho to tanha rahena kis ko achcha lagta hai
Tum kya mere pyar ki shiddat paimano se naapo ge
Pyaar main jitna bhi kata hoon mujh ko thoda lagta hai
Palkon ki baadhon pe jo tum ashk sajay baithe ho
Dil mein yadon ka phir koi jhonka aaya lagta hai
Jaise bheed mein bachcha koi gum ho jata hai Shadab
Tum jab saath nahi hote ho mujh ko aisa lagta hai
*******************
~*~Tum mujh ko achay lagtay ho~*~
Ek baat kahoon ger suntay ho
Tum mujh ko achay lagtay ho
Kuch chanchal se kuch chup chup se
Kuch pagal pagal lagtay ho
Hain chahnay walay aur bohat
Per tum mein hai ek baat bohat
Tum apne apne lagtay ho
Ek baat kahoon ger suntay ho
Yeh baat baat pe kho jana
Kuch kehte kehte ruk jana
Yeh kis uljhan mein lagtay ho
Tum mujh ko achay lagtay
************************
Kahan ho tum chalay aao mohbbat ka taqaza hai
Gum-e-Dunya se ghabra ker tumhein dil ne pukara hai
Tumhari be-rukhi ek din humari jaan le le gi
Qasam tum ko zara socho dastor-e-wafa kya hai
Najane kis liye dunya ki nazren phir gai hum se
Tumhen dekha tumhen chaha qasoor is k siwa kya hai
*******************
Dil mein na ho jurrat to muhabbat nahi milti
Khairaat mein itni bari dolat nahi milti
Kuch log yunhi shaher mein hum se bhi khafa hein
Her aik se apni bhi tabiyat nahi milti
Dekha hai jise mai ne koi aur tha shayed
Wo kaun hai jis se teri soorat nahi milti
Haste huey chehron se hai bazaar ki zeenat
Ronay ko yahan waisey bhi fursat nahi milti
***************************
*** Pyaar se Pyaar ***
Chale jo do kadam saath woh,
To unke saath se Pyaar ho jaye,
Thaame jo Pyaar se mera haath woh,
To apne hi haath se Pyaar ho jaye,
Jis raat aaye khowabon mein woh,
Us suhaani raat se Pyaar ho jaye,
Jis baat mein aaye zikar unka,
To ussi baat se Pyaar ho jaye,
Jab pukaare Pyaar se mera naam,
Too apne hi naam se Pyaar ho jaaye,
Hota hai agar itna khoobsurat yeh Pyaar agar,
Tu aye Khuda unhe bhi mere Pyaar se Pyaar ho jaye
****************************
*** Ab Bhi Teri Aahat Per ***
Zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat per..
Dard bhool jaatey hain ab bhi teri aahat per..
Shabnami sitaron per phool khilnay lagtay hain..
Chaand muskuratay hain ab bhi teri aahat per..
Umer kaat dii lekin bachpana nahin jaata..
Hum diye jalatey hain ab bhi teri aahat per..
Ghantiyan sii bajti hain raqs honay lagta hai..
Dard jagmagatey hain ab bhi teri aahat per..
Teray hijar mein hum per ik azaab taari hai..
Chonk chonk jaatey hain ab bhi teri aahat per..
Teri yaad aaye to neend jaati rehti hai..
Chaand muskurata hai ab bhi teri aahat per..
Ab bhi teri aahat per aas lout aati hai..
Askh hum bahatey hain ab bhi teri aahat per...
********************************
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi,,
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi,,
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se,,
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi,,
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko,,
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi,,
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha,,
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi,,
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana,,
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
*************************
Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai
Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai
Saans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt
Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai
Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho
Hum ne yeh soch ke hi tum ko khafa rakha hai
Tum jise rota hua chhorr gaye they ek din
Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai
Chein lene nahin deta yeh kisi taur mujhe
Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai
Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor
Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai
Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki
Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai
Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga
Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
Aakhri baar jo aaya tha mere naam Wasi
Mein ne is khat ko kalejey se laga rakha hai
*****************************
Mohabbat mar nahi sakti
Mohabbat Zinda rehti hai
Mohabbat kam nahi hoti
Mohabbat barhti rehti hai
Magar itna yaqeen to ho
Ke tum ko bhi Mohabbat hai
Magar mujh ko yaqeen hai yeh
Ke mujh ko to Mohabbat hai
Agar tum ko nahi to kya
Tumhain bhi ho hi jaye gi
Churao Laakh tum nazrein
Kahin tum jaa nahi sakte
Meri Chahat ki shiddat ko
Yun hi thukra nahi sakte
Nahi tum jaa nahi sakte
Mujhe khud per bharosa hai
Aur Chahat per yaqeen sa hai
Ke tum ko laut aana hai
Meri Chahat ki shiddat
Tumhain bhi khench laayegi
Tumhain bhi ek na ek din
Mohabbat ho hi jaye gi
*********************
Raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
Dil bahot kuchh jalaa ke dekh liyaa
Aur kyaa dekhane ko baaqii hai
Aap se dil laga ke dekh liyaa
Wo mere hoke bhii mere na hue
Unko apna banaa ke dekh liyaa
Aaj unkii nazar mein kuchh hum ne
Sabakii nazare.n bachaa ke dekh liyaa
'Faiz', taqmiil-e-Gam bhi ho na saki
Ishq ko aazmaa ke dekh liyaa
Aas us dar se tuut-ti hi nahi
Jaa ke dekhaa, na jaa ke dekh liyaa
***********************
Mery Dil Ki Rakh Kuraid Mat Usay Muskura Ke Hawa Na Day.
Yeh Chirag Pher Bhi Chirag Hain,Kahin Tera Hath Jala Na Day..
Naye Door Ke Naye Khuwab Hain,Naye Musamoun Ke Gulab Hain.
Ye Muhabatoun Ke Chirag Hain,Enhay Nafratoun Ki Hawa Na Day..
Zara Dekh Chand Ki Patiyaoun Nay Bikher Bikher Ke Taamam Shab.
Tera Naam Likha Hai Rait Pe,Koi Lehar Akay Un Ko Mita Na Day..
Main Udasiyan Na Saja Sakoun,Kabhi Jisam Wo Jaaan Ke Mazar Per.
Na Deya Jalain Meri Aankh Main, Mujhay Etni Sakht Saza Na Day..
Maray Sath Chalnay Ke Shook Main, Bari Dhoop Ser Pe Uthaye Ga.
Tera Nak Naksha Hay Moom Ka,Kahin Gum Ki Aag Ghulla Na Day..
Main Gazal Ki Shabnami Ankh Se,Yeh Dookhoun K Phool Chuna Karoun.
Meri Saltanat Mera Fun Rahay,Mujhay Taj -O- Takht Khuda Na Day
************
Maar hi daal mujhe Chashm-e-Ada se pahle
Apni Manzil ko Pahunch jaoon Qaza se pahle
Ek Nazar Dekh loon aa jao Qaza se pahle
Tum se milne ki Tamanna hai Khuda se pahle
Hashr k Roz mai poochoon ga Khuda se pahle
Tu ne Roka nahi kyun Mujh ko Khata se pahle
Ae Meri Maut, Thehar Unko Zara ane de
Zehar ka Jaam na de Mujh ko Dawa se pahle
Hath Pohunche bhi na the Zulf-e-dost tak "Momin"
Hathkari dal di Zalim ne Khata se pahle
****************
Koi Hum-Nafas nahi hai koi Raazadan nahi hai
Faqat Ek Dil tha Apna so wo Meharban nahi hai
Kisi aur Ghum mein itni Khalish-e-Nihan nahi hai
Ghum-e-Dil mera Rafiq-o-Ghum-e-rayegan nahi hai
Meri Rooh ki Haqeeqat mere Aansuon se pucho
Mera Majalisi Tabassum mera Tarjuman nahi hai
Kisi Aankh ko sada do kisi Zulf ko pukaro
Bari Dhoop par rahi hai koi Sayebaan nahi hai
Inhi Pattharon pe chal ker agar aa sako to aao
Mere Ghar k Raaste mai koi Kahakashan nahi hai
*****************
Yun na mil mujh se khafa ho jaise
Saath chal mauj-e-saba ho jaise
Log yun dekh k hans dete hain
Tu mujhe bhool gya ho jaise
Ishq ko shirk ki had tak na badha
Yun na mil hum se khuda ho jaise
Maut bhi aayee to is naaz k saath
Mujh pe ehsaan kia ho jaise
Aise anjaan bane baithe ho
Tum ko kuch bhi na pata ho jaise
Hitchkiyaaan raat ko aati hi raheen
Kisi qaatil ne humein yaad kia ho jaise
****************
Suno ! Tum Laut aao !
Jaha Hum hain Wo Duniya kub Humhari hai..
Ke Suraj dhal gaya hai,,
Hasseen Shaam Utri hai ..
Wo Dekho Chand Nikla hai ,
Sitaray jagmagaty hai,
Humri Muntazir Ankhien,,
Duaen Mangti Aankhein ,
Tumhay Socthi Aankhein,,
Tumhe Dhondti Aankhein ,,,
Tumhe Wapis Bulati hein,
Ye Dil Jab Bhi Dharakta hai ..
Tumhare Naam leta hai,
Ye Ansu jab bhi behte hai ,
Tumhara Dukh mein behte hai
Ke barish jab bhi hoti hai
Tumhe hi yaad yaad karti hai ,
Khushi koi bhi jo aay.
.. Tumhary Bin Adhuri hai,
Suno Tum Laut aao
**************************
Barasoun ke baad dekha ik shakhs dil ruba sa
Ab zahan main nahain hai par naam tha bhala sa
Abaruu khienche khienche se ankhain jhuki jhuki se
Baatain ruki ruki se lahaja thaka thaka sa
Alfaaz the ke jugnuu awaz ke safar main
Ban jaaye jangaloun main jis tarah raastaa saa
Khwaaboun main Khwaab us ke yaadoun main yaad us ki
Nendoun main ghul gayaa ho jaise ke rat jagaa saa
Pahale bhi log aaye kitane hi zindagii main
Wo har tarah se lekin auroun se thaa judaa saa
Agalii muhabbatoun nay wo naa_muraadiyaaun dein
Taazaa rafaaqatoun se dil thaa Daraa Daraa saa
Kuchh ye ke muddatoun se ham bhi nahain the roye
Kuchh zahar main bujhaa tha ahabaab kaa dilaasaa
Phir youn howa ke saavan ankhoun main aa base the
Phir youn howa ke jaise dil bhi thaa aabalaa saa
Ab sach kahein to yaaro ham ko Khabar nahain thi
Ban jaayegaa qayaamat ek waaqia zaraa saa
Tevar the berukhi ke andaaz dosti ke
Wo ajanabi tha lekin lagataa thaa aashnaa saa
*****************************
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
A phir se mujhe chho.D ke jane ke liye aa
Pahele se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa
Kis kis ko bataye.nge judai ka sabab ham
Too mujh se Khafa hai to zamane ke liye aa
Kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
Too bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
Ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maheroom
Ai rahat-e-ja.N mujh ko rulane ke liye aa
Ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai ummide.n
Ye akhiri shammien bhi bujhane ke liye a
Mana ki muhabbat ka chhipana hai muhabbat
Chupake se kisi roz jatane ke liye aa
Jaise tujhe aate hai na aane ke bahane
Aise hi kisi roz na jane ke liye aa
**********
Apnay ko ham is shaher mein ruswa na karein ge
Ab tak jo huwa kheir , ab aisa na karen ge
Wada hai ke ab aur na Jalaen ge jee ko
Nuksaan hai iss men tu ye soda na karein ge
Shaam tak un galiyon mein na ghoomein ge pareshan
Subh tak shab-e-mah mein jaaga na karein ge
Har moor par na thakein ge deewano ki suraat
Har dar pe tujhy jaa ke pukaara na karein ge
Likhein ge kisi aur hi Unwaan ki nazmeen
Gazlon men bhi iss bat ka charcha na karein ge
*******************
Il mein ek khuahish hai jo sirf tum sey wabasta hai
Aaj us koahish ka izhar kerna chahta hoon
Jahan jahan tum chalo,tu apnay anchal ko
Tumharay qadmoon mein phailana chahta hoon
Tumharay her ghum ke kantay ko apni,
Palkoon sey uthana chahta hoon
Jo kabhi aay tumhari rahoon mein andheera tu,
Khud dia ban ker jalna chahta hoon
Jo lay tumharay hontoon per khushi,
Woh muskurahat ban na chahta hoon
Dil mein ek koahish hai jo sirf tum se wabasta hai,
Aaj us koahish ka izhar kerna chahta hoon
Jo saansain tum laitay ho ,un saanson mein bass ker
Tumhari mehak banana chahta hoon
Jo khowab tum dekho, tu uss khowab ki haqeeqat ban ker
Tumhari her koahish pori kerna chahta hoon
Jo aay tumhari rah mein kabhi dhoop tu,
Uss dhoop mein tumhari chaon ban ker bikharna chahta hoon
Jo rahay hamesha tumharay saath ,
Woh saaya ban ker chalna chahta hoon
Khuch tu kaho mujh sey bas ek bar,
Sirf or sirf tumhari ban ker zinda rehna chahta hoon
*************************
Wo apna hai ya begana.. Achha lagta hai,
Do pal uske saath bitana.. Achha lagta hai,
Roz bahane kar ke jana.. Achha lagta hai,
Ik jhalak bhi uski pana.. Achha lagta hai,
Kahne ko jab chaahun.. Haan kar degi woh,
Lekin phir bhi uska na na.. Achha lagata hai,
Uski baat kuchh alag hai.. Mujhko kuchh bhi kah le,
Aashiq, pagal ya deewana.. Achha lagta hai,
Usko log shama kahte hain.. Muskati hai wo,
Mujhko kahte hai parwana.. Achha lagta hai,
Rishta hai na jane.. Mera usse kiya,
Mere khawabon mein bhi uska aana.. Achha lagta hai
***********************
Mujhe baahon mein bikhar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Dil machalta hai aur saans rukti hai,
Ab toh seene mein aaj mujhe utar aane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Shokh nazron ko sharm aati hai,
Thartharaate hue labon ko chain paane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Raat tanha hai aur sard mausam hai,
Shola-e-ehsaas ko AB aur bhadak jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Behke hain hum fizaa Jo behki hai,
Dil ko dil rooh ko rooh mein sama jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Bikhre gesu hain bikhra kaajal hai,
Haule haule is shab ko tum guzar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Abhi aur bhi armaan dil me baaki hai,
Yuhin baahon mein is raat ko kat jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Mujhe baahon mein bikhar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do
***************
Dukh dard k maro se mera zikar na karna
Ghar jao to Yaro se mera zikar na karna
Wo zabt na kar paen gay Ankho k samandar
Tum gum guzaro se mera zikar na karna
Pholon k Nasheman Main raha hon sada se
Dekho kabhi gairoon se mera zikar na karna
Shahyad ye andehre he mujhe rah dekhai
Ab chaand sitaro se mera zikar na karna
Ajnabi sheher k ajnabi rastay
Meri tanhaii per muskoratay rahay
Main bohat der tak yunhi chalta raha
Tum bohat der tak yad atay rahay
Zeher milta raha, zeher peetay rahay
Roz mertay rahay, roz jeetay rahay
Zindagi bhi hamain azmati rahi
Or hum bhi usay azmatay rahay
Ajnabi sheher k....
Kal kuch aisa howa, main bohat thak gaya
Is liyay sun k bhi un suni ker gaya
Kitni yadon k bhatkay howay karwaan
Dill k zakhmon k darr khatkhatatay rahay
Ajnabi sheher k....
Zakhm jab bhi koii zehn o dill per laga
Zindagi ki taraf ik dareecha khula
Hum bhi goyaa kisi saaz k taar hain
Chott khatay rahay, gungunatay rahay
Ajnabi sheher k ajnabi rastay
Meri tanhaii per muskoratay rahay
Main bohat der tak yunhi chalta raha
Tum bohat der tak yaad atay rahay!!!!!!!
**************
Jis simt bhi dekhuun nazar aataa hai ke tum ho
Ai jaan-e-jahaan ye koi tum saa hai ke tum ho
Ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jhonkaa hai ke pal hai
Ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho
Is did ki sa_aat mein kai rang hain larazaan
Main huun ke koi aur hai duniyaa hai ke tum ho
Dekho ye kisi aur ki aankhen hain ke meri
Dekhuun ye kisi aur kaa cheharaa hai ke tum ho
Ye umr-e-gurezaan kahin Thahare to ye jaanuun
Har saans mein mujh ko ye lagataa hai ke tum ho
Har bazm mein mauzuu-e-sukhan dil zad_gaan kaa
Ab kaun hai shirin hai ke lailaa hai ke tum ho
Ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke main huun
Ik mauj mein aayaa huaa dariya hai ke tum ho
Vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhi soche
Is shahar mein tanhaa koi ham saa hai ke tum ho
Aabaad ham aashuftaa saron se nahin maqtal
Ye rasm abhi shahar mein zindaa hai ke tum ho
Ai jaan-e-'shadab' itani bhi taufiq kise thi
Ham ko Gam-e-hasti bhi gavaaraa hai ke tum ho
*************************
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
A phir se mujhe chor ke jane ke liye aa
Pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa
Kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
Tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye aa
Kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa
Ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maharum
Ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye aa
Ab tak dil-e-Khush faham ko tujh se hain ummidain
Ye akhiri shamain bhi bujhane ke liye aa
Mana ki muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat
Chupake se kisi roz yeh jatane ke liye aa
Jaise tujhe ate hain na anye ke bahane
Aise hi kisi roz na jane ke liye aa
*************
Koii chupkay chupkay kehta hai,
Koii geet likho meri ankhon per,
Koii sher kaho mere lafzon per,
In khushboo jesi baton per,
Chup chaap main sunta rehta hon,
Phir in jheel si gherii ankhon per,
Ik taza ghazal likh deta hon,
In phool jesi baton per,
Aik sher niya keh deta hon,
Yeh geet, ghazal yeh sher mere,
Sab us k piyar ka darpan hain,
Sab us k roop ka darshan hain,
Sab us ki ankh ka kajal hai
***************
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Dariya ka Saahil ho, poore chaand ki raat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Pareyoon ki mehfil ho, koi tumhari baat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Yeh naram mulayyam thandi hawain
Jab ghar se tumhare guzrain
Tumhari khushboo churrayain
Mere ghar aayain
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Sooni har mehfil ho, koi na mere saath ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Kabhi yun bhi tu ho
Yeh badal aisa toot ke barsay
Mere dil ki tarah milne ko tumhara dil bhi tarsay
Tum niklo ghar se
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Kabhi yun bhi tu ho
Tanhaee ho dil ho, boondain ho, barsaat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
Kabhi yun bhi tu ho
Dariya ka Saahil ho, poore chaand ki raat ho
Aur tum aaoo ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho ...
Kabhi yun bhi tu ho
**********
Teri yaadon ke bina koi lamha guzaara nahin
Ik pal nahin jab tumhe humne pukaara nahin
Meri naakaamiyon ka itna bhi gam na kijiye
Agar aap jeete hain to main haara nahin
Ye naqsh-e-dard kaise utar jaaye chehre se
Main ne abhi aapka ghum dil se utaara nahin
Tere bin youn kat rahi dariya-e-zindagi mein
Kashti bhi hai maajhi bhi hai,kinaara nahin
Kar rakhaa hai jisne saare ghar mein ujaala
Aansu hai mera ye koi toota hua taara nahin
Kisko gale lagaa ke rooyen na-muraad hum
Is bhari duniya mein apna koi sahaara nahin
Mareez-e-ishq hai tamannai khudkushi ka ab
Gehre hain dil ke zakhm,aur koi chaara nahin
Wo aa ke poonchh den aansu hamari aankhon se
Itna bhi hamare haq mein naseeb hamara nahin
********************
Mujhe baahon mein bikhar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do
Dil machalta hai aur saans rukti hai,
Ab toh seene mein aaj mujhe utar aane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Shokh nazron ko sharm aati hai,
Thartharaate hue labon ko chain paane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Raat tanha hai aur sard mausam hai,
Shola-e-ehsaas ko AB aur bhadak jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Behke hain hum fizaa Jo behki hai,
Dil ko dil rooh ko rooh mein sama jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Bikhre gesu hain bikhra kaajal hai,
Haule haule is shab ko tum guzar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Abhi aur bhi armaan dil me baaki hai,
Yuhin baahon mein is raat ko kat jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do…
Mujhe baahon mein bikhar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do
*********************
Wo apna hai ya begana.. Achha lagta hai,
Do pal uske saath bitana.. Achha lagta hai,
Roz bahane kar ke jana.. Achha lagta hai,
Ik jhalak bhi uski pana.. Achha lagta hai,
Kahne ko jab chaahun.. Haan kar degi woh,
Lekin phir bhi uska na na.. Achha lagata hai,
Uski baat kuchh alag hai.. Mujhko kuchh bhi kah le,
Aashiq, pagal ya deewana.. Achha lagta hai,
Usko log shama kahte hain.. Muskati hai wo,
Mujhko kahte hai parwana.. Achha lagta hai,
Rishta hai na jane.. Mera usse kiya,
Mere khawabon mein bhi uska aana.. Achha lagta hai
**************
Dil mein ek khuahish hai jo sirf tum sey wabasta hai
Aaj us koahish ka izhar kerna chahta hoon
Jahan jahan tum chalo,tu apnay anchal ko
Tumharay qadmoon mein phailana chahta hoon
Tumharay her ghum ke kantay ko apni,
Palkoon sey uthana chahta hoon
Jo kabhi aay tumhari rahoon mein andheera tu,
Khud dia ban ker jalna chahta hoon
Jo lay tumharay hontoon per khushi,
Woh muskurahat ban na chahta hoon
Dil mein ek koahish hai jo sirf tum se wabasta hai,
Aaj us koahish ka izhar kerna chahta hoon
Jo saansain tum laitay ho ,un saanson mein bass ker
Tumhari mehak banana chahta hoon
Jo khowab tum dekho, tu uss khowab ki haqeeqat ban ker
Tumhari her koahish pori kerna chahta hoon
Jo aay tumhari rah mein kabhi dhoop tu,
Uss dhoop mein tumhari chaon ban ker bikharna chahta hoon
Jo rahay hamesha tumharay saath ,
Woh saaya ban ker chalna chahta hoon
Khuch tu kaho mujh sey bas ek bar,
Sirf or sirf tumhari ban ker zinda rehna chahta hoon
**********************************
Ban Ke Dhadkan, Dil Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Khusboo, Saanso Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Pani, Aakhon Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Ghazal, Zuba Pe Chali Aati Ho;
Ban Ke Sangeet, Kaano Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Suraj, Din Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Chand, Raat Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Hawa, Fizao Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Kismat, Lakiro Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Zindagi, Rooh Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Nasha, Jaam Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Tabassum, Hoto Pe Chali Aati Ho;
Ban Ke Rang, Tasweero Me Chali Aati Ho;
Ban Ke Manzil, Raaho Me Chali Aati Ho;
Woh Tum Hi Ho.......... ....;
Ban Ke Saathi, Mere Saath Chali Aati Ho
***********************
Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo,
Raat kaali sahi koi gham na karo..
Ik sitara bano jagmagatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho..
Baant'ni hai agar baant lo har khushi,
Gham na zahir karo tum kisi per kabhi..
Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho..
Ashk anmool hain kho na dena kahin,
In ki har boond hai motiyoon se haseen..
In ko har ankh se tum churatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho..
Faaslay kam karo dil milatay raho,
Zindagii mein sada muskaratay raho
***********************
Aj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
Aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
Aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
Aaj jab dil nay bulaya tu boht yaad aaya
****************************
Koi Baat Aisi Kia Karo, Koi Lafz Aisa Kaha Karo
Milay Jis Say Dil Ko Qarar Sa, Koi Shair Aisa Parha Karo
Na Hi Dukh Main Is Ko Rakha Karo, Kabhi Sukh Bhi Is Ko Dia Karo
Yeh Udaas Hai Kaiey Roz Say, Merey Dil Main Aa K Raha Karo
Jo Kathan Kathan Say Hain Rastay, Yeh Sabhi Hain Kion Merey Wastay
Yeh Jo Jal Raha Hoon Main Aag Main, Kabhi Tum Bhi Is Main Jala Karo
Abhi Tak Tumhari Hi Aas Hai, Merey Dil K AB Bhi Tu Paas Hai
Hai Yeh Dil Tumharey Hisaar Main, Is Main Meri Jaan Raha Karo
Mera Din Ho Ya Meri Raat Ho, Faqat Ek Tumhari Hi Baat Ho
Abhi Jaisey Tum Merey Sath Ho, Yohn Hi Merey Sath Raha Karo
*************************
Chalo mein bataon kiya ho tum ?
Mere liye meri duniya ho tum.
Chu kar jo guzri woh hawa ho tum,
Mein ne jo mangi woh dua ho tum.
Meri dunia jis se hai roshan woh diya ho tum,
Dil yeh kahey mera jiya ho tum
Kiya mein ney mehsoos woh ehsaas ho tum,
Mere honto ki pyaas ho tum.
Mere baahon ki Aas ho tum,
Meri nazar ki talaash ho tum.
Meri zameen ka akaash ho tum,
Mere chehrey ki kashish ho tum.
Mere sitaron ki gardish ho tum,
Meri zindagi ka karaar ho tum.
Mein ney jo chaha woh pyaar ho tum,
Meray intizaar ki raahat ho tum.
Mere dil ki chaahat ho tum,
Tum ho to yeh duniya hai meri
************************
Kabhi to shahar ki fiza mujhko khushgawar miley
Tere labo pe tabassum nazar mein pyaar miley
Hamari pyaas ka maayaar tha fakat tuhi
Rahey hayaat mein dariya to beshumaar miley
Hamari jaddo jehad thi fakat tere waastey
Aasaan raastey to mujhko behisaab miley
Teree khushboo se muattar hain fizaye bhee
Chaman ke baharon ki mehek lataadaad miley
Teree shadabiyo se raushan kabhie bahaar miley
Mere bekaraar dil ko kabhi to karaar miley
**************************8
Bohat Hans Hans Ke Batein Kar Rahay Ho....
Dukhon Me Aur Izaafa Kar Liya Kiya ?
Bohat Nazdeek Aatay Ja Rahay Ho....
Bicharnay Ka Irada Kar Liya Kiya?
..................................................
Kiya Bhala Mujh Ko Parakhnay Ka Nateeja Nikla....
Zakhm-e-dil Aap Ki Nazron Se Bhi Gehra Nikla....
..................................................
Me Faqat Zindagi Se Darta Hoon....
Maut To Ail Baar Maaray Gi....
..................................................
Apni Tanhai Teray Naam Pe Aabad Karay....
Kaun Hoga Jo Tujhay Meri Tarah Yaad Karay....
..................................................
Aik Lamhay Me Jala Deti Hai Parwanay Ko....
Shama Kiya Khoob Mohabbat Ka Sila Deti Hai
*********************
Suno Acha Nahi Lagta
Karay Jab Tazkara Koi
Karay Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khoojay
Tumhari Baat Ko Soochay
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Tumhari Muskurahat Per
Hazaroon Loag Martay Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
Mujhay Acha Nahi Lagta
Suno Acha Nahi Lagta
Hawa Guzray Tumhain Choo Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujhsay
Karayy Koi Tumsay Gustakhi
Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain
Tumharay Lams Pi Ja-ain
Mujhay Acha Nahi Lagta
*************
Hum say na ho saki mohabbato ki numaish Faraz
Bus itna jantay hay kay tumhain chahtay hay hum
******************
Tumhare bus main ager ho, to bhool jao hamain
Tumhain bhulane main shayad,hamain zamana lage
*****************8
Kon kehta hai k tumse hamari judai hogi
Yeh afwah zarur kisi dushman ne urai hogi
Shan se rahen gay tumharay dil main ham
Itnay dinon main kuch to jaga banai hogi.
******************
Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sekte
Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sekte
Chupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
Kuch aise daagh hain dil per jo hum dho bhi nahi sakte
Kaha tu tha chor denge yeh nagar phir rukh gaye lekin
Tumhain paa tu nahi sakte magar kho bhi nahi sekte
Hum to Ishq Main Bhi Tauheed k Qail Hain Faraz
Aik Hi Shakhs ko Mehboob Banaye Rekha Hai
*******************
Ay kash
Jo La Deta Mere Khwab Sare
Jo Meri Sumandar Ankhon Se Chun Leta Azab Sare
Jis Ki Sangit Me Mujhe Apne Hone Ka Ehsas Hota
Mera Har Ansoo Us Ke Liye Azab Hota
Par Ae Nadan Dil Mujhe Paata Hai
Mera Wajud Kis Miti Se Bana Hai
Mujh Ko Paata Hai Mere Saare Gham Mere Hain
Yeh Tanhaian Bhi Meri Hain
In Sumandar Ankhon Ke Azab Bhi Mere Hain Mera Har Ansoo Bhi Sirf Mera Hai
Rasm Wa Rawaj Ke Is Kafs Main Qaed Yeh Ruh Bhi Meri Hai
Mera Har Khwab Shisha Hai
Aur Yeh Insan Pathar Sare
Ae Kash Koi Aesa Hota......kash
*********************
Humara kia hai,Hum to chiraag-e-shab ki tarha
Agar Jalay bhi to bus itni roshni ho gi
K jaise ghane andheron mei koi Jugno Zara si dair ko chamake..
Chamak k kho jaye..
Phir us k baad na kuch dekhaii de
Na shab katay na chirga-e-sahar dekhaii de
Humara kia hai hum to bus..Ghubar-e-Safar..
Agar chale bhi to bus itni raah tay ho gi
K jaisay tund hawaoon ki zud mein Naqsh-e-Qadam
Zara si dair ko ubhray ubhar k mit jayen
Phir uss k baad na manzil na raah guzaar milay
Hadh-e-Nigah talak Dasht-e-Be-Kinaar milay
***************88
Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
Dil kehta hai duniya ki har ek rasm utha de
Deevaar jo hum dono mein hai, aaj gira de
Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi
******************
Hum ney soch rakha hey
Chahey dil ki har
Khawaish
Zindagi ki aankhon se
Ashk ban key beh jaye
Chahey ab makeenon par
Ghar ki sari deewarain
Chat samait gir jain
Aur bey-mukaddar hum
Is badan key malbey mein
Khud hi kioon na dab jain
Tum se kuch nahin kehna
Kaissi neend thi apni,
Kaissey khawab they apney
Aur ab gulabon par
Neend wali aankhon par
Naram-khu se khawab par
Kioon azab tootey hein
Tum se kuch nahin kehna
Ghar gaye hein raaton mein
Bey-libas baton mein
Is tarhan ki raaton mein
Kab chiragh jaltey hein,
Kab azaab taltey hein
Ab to in azaabon se
Bach key bhi nikalney ka
Raasta nahin jana!
Jis tarhan tumhain sach key
Lazawal lamhon se
Wasta nahin jana!
Hum ney soch rakha hey
Tum se kuch nahin kehna
********************
Zahen k khayalon main
Roh k ujalon main
Zindagi ki jhelon main
Zaat k faseelon main
Ratjago k daman main
Khawhish k aangan main
Dil k khushk shera mian
Chsam_E tar k darya main
Ashk be zuban main bhe
Aur kuch nahi rehta
TERI Yaad Rehti hai
******************
Har nazar ko ek Nazar ki talash hai,
Har chehre me kuch toh Ehsaah hai,
Aapse Dosti hum yun hi nahi kar baithe,
Kya kare Hamari pasand hi Kuch KHAAS hai . .
**************
Kabhi youn bhi ho mery rubaroo k meri nazar ko khabar na ho,,
Mujhay aik raat nawan dey magar uss k baad sahar na ho,,,,,
Wo barha raheem wa kareem hai mujhay yeh sefat bhi ataa karay,
Tujhay bhoolnay ki dua karoon to meri dua mein asar na ho,,,,,,
*****************
Woh kaun hai jiski raahoon ko takti hai nazar,
Woh kaun hai jisne kiya hai mujhko khud se behkhabar,
Woh akun hai jo mere pal pal mein shamil hai,
Woh kaun hai jo meri manzil hai,
Woh kaun hai jisay mein sunana chahta hoon, dekhna chahta hoon,
Bhan keh saya mere sung rehta hai kaun, meineh yeh na jana kabhi, aisa na tha haal mera
Pehla, haal yeh mera howa hai abhi,
Woh khwaab hai ya haqeeqat hai,
Woh sab se badh ker meri zaroorat hai
Woh Koi aur nahi..... TUM HO !!!!!
***********************
Sazaoon kay badlay,Dua hum nay ki the
Jafaoon kaay badlaay,wafa hum nay ki the
Sabhi kuch metaa kar,sabhi kuch bhoola kar
Shikayaat bhi un saay kahan hum nay ki the
Mohabat ka badla mohabat nahi hai
Aulfaat kaay pechaay adawaat chupee hai
Wo esaa karain gaay,wo esaa kahin gaay
Aunhee kaylia saab kuch ganwaya
Wo hum paar marain gaay,wo hum paar metaay gay,
Yah chahat bhi un saay kahan hum nay ki the
Zamanay ki chaloun ko samjho zara tum
Mohabat main khud ko sambhalo bhala tum
Tum ko chahain,tumein ko saarhain
Yah qasmain bhi un saay kahan hum naay li theen
**********************
Chahat Kay Is Dharay Per,
Darya Or Kenaray Per
DIL Ko Aaj Azaad Kia ,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Tanhaee Ke Ratoon Main,
Khud He Batoon Batoon Main
Is DIL Ko Yoon Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Jab Say Tum Ko Dekha Hay,
Jab Say Tum Ko Chaha Hay,
Har Ak Pal Faryaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Is Jewan Kay Nesaaboon Main,
Or Ratoon Kay Khawaboon Main,
Jaag Kay Bhi DIL Shaad Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia,
Phool Ka Khilnay Say Phelay,
Tum Ko Milnay Say Phelay,
Khud Ko Tu Barbadd Kia,
Main Nay Tum Ko Yaad Kia
*******************
Taree zulfain bakharnay ko ghata kah doo to kaisa hoo
Taray aanchal kay urnay ko saba kah doo to kaisa hoo
Bazahar chup ho lakin phir bhee aankhoo main hain afsanay
Taree khamoshiyon ko bhee sada kah doo to kaisa hoo
Maray shikway shikyat par bhee mujh say pyar kartee ho
Taree chahat ko main sab say juda kah doo to kaisa hoo
Taree yadain maray dil par ajab sa shr kartee hain
Taree yadoo ko gar main aik nasha kah doo to kaisa hoo
Tumharay bin mujhay jeena bara dushwar lagta hai
Tumhain main apnay jeenay kee waja kah doo to kaisa hoo
Jo tum naraz na ho to mujhay aik bat kahnee hai
Agar main pyar say tum ko wafa kah doo to kaisa hoo....
*****************
Rokte Rokte na Rok saka, usse qaid mai na kar saka
Na Dil ki Baat Suna saka, na Dil ki Khuwaish bata saka
Wo tha nahi pass mere par soch mai tha har ghadi
Na us ko mai bhula saka, na apne pass bula saka
Socha buhat ke baat karu, thodi usse jaan pehchan karu
Na batein uski sun saka, na Kissey apne suna saka
Yaad mai hai wo aik lamha, jo bus yaad ban ke reh gaya
Na usko mai thaam saka, na Dil ki aag bujha saka
Es Hajom-e-duniya mai usko bhi hai talab shayad
Na phir wo mujhe dhoond saka, na pata mera chala saka
Mai bi kho gaya is duniya ke bheed mien
Na Manzil Apni Pa Saka,
Na Hum-Safar Apna Saka
****************
Suno dil ki samaa-at hai , meri bass ek chahat hai
Yehi kehna hai ab tum se, mujhai tum se mohabbat hai
Meri aankhon k tewar se faqat ehsaas to ho ga
Inhaiin parr ker samaj lo tum, muje tum se mohabbat hai
Khayalon aur Khaabon mein tumhin bass tumhi tum ho
Ajab is dil ki halat hai, mujhai tum se mohabbat hai
Kabee tanhayee mein muj se tasavvur mein jo milte ho
Yehi her baar kehta hoon , muje tum se mohabbat hai
Yun hi gum sum nahin betho , koi tum baat ker lo yaa
Ijazat ho to mein keh doon, mujhai tum se mohabbat hai
Mera dil muntazir hai ab , talab bass ik inayat hai
Shayar ab dil se yeh keh do, mujhai tum se mohabbat hai
***********************
Baataon baaton main bicharne ka ishara ker k
Khud bhe roya buhat woh hum se kinara ker k
Sochta rehta hoon tanhaai main anjaam-e-wafa
Phir usi jurm-e-mohbbat ko dobara ker k
Jagmaga di hain tere shaher ki galyan main ne
Apne her ashk ko palkon pe sitaara ker k
Dekh leta hain chalo hosla apne dil ka
Aur kuchh roz tere saath guzaara ker k
Aik hi shaher main rehna hai magar milna nahi
Dekhte hain yeh aziyat bhi gawara ker K
*************************
Chupana raaz is dil k agar tum chor do jana,,,
Mujhay tum say mohabbat hai agar tum bol do jana,,,
To jeewan k safar me raasta asaan hojaye ,,,
Hamaray pass bhi jeenay ka kuch saman hojaye ,,,
Wagar na ham tumharay dil k darwazay k bahar ,,,
Aas me baithay rahain gay ,,
K kabhi to band darwazay ko kholoo gii...
Meray shanay pay sir rakh kar khabhii dheeray say boloo gii ,,
MUJAY TUM SAY MOHABBAT HAI
***********
Ye jo zeest ka safer hai,
Yeh jo rasta hai mera.
Tum agar na saath doon ge,
To ye kistarha katay ga?
Meri soch ki hado tak,
Yeh guman bhi kaisey aey?
Koi pal
Bina tumharay........
Bhala kaisey beet jaey?
Mere paas Tum nahi ho?
Mere paas kab nahi ho?
Meri har dua ka mehvar,
Bas
ARZO TUMHARI!
Is arzo se agey,
Koi rasta nahi hai.
TUMHEIN kisqadar hai CHAHA......
Yeh Tumhein.........
PATA NAHI HA
*************
Kaise bataaoon main tumhe Mere liye tum kaun ho,
Kaise bataaoon main tumhe Tum dhadkanon ka geet ho
Jeevan ka tum sangeet ho Tum zindagi tum bandagi
Tum roshni tum taazgi Tum har khushi tum pyaar ho
Tum preet ho manmeet ho Aankhon mein tum
Yaadon mein tum Saanson mein tum aahon mein tum
Neendon mein tum khwaabon mein tum
Tum ho meri har baat mein
Tum ho mere din raat mein
Tum subaah mein tum shaam mein Tum
Soch mein tum kaam mein
Mere liye paana bhi tum Mere liye khona bhi tum
Mere liye hasna bhi tum Mere liye rona bhi tum
Aur jaagna sona bhi tum
Jaaoon kahin dekhoon kahin Tum ho vahan,
Tum ho vahin Kaise bataaoon main tumhe Tum bin to main kuch bhi nahin
Aanchal mein yeh parchhaaiyaan Yeh nagriyaan hai khwaab ki
Kaise bataaoon main tumhe Haalat dil-e-betaab ki
Kaise bataaoon main tumhe Mere liye tum kaun ho Kaise bataaoon,
Kaise bataaoon Kaise bataaoon main tumhe...
Mere liye tum dharam ho Mere liye imaan ho
Tum hi ibaadat ho meri Tum hi to chaahat ho meri
*************88
Mare Sabar Ka Na Lay Imtihaan,
Mare Khaamoshi Ko Sadaa Na De,
Jo Tare Baghair Na Jee Sake,
Use Jeene Ki To Duaa Na De,
To Azeez Dill-o-nazar Se Hai,
To Qareeb Rag-e-jaan Se Hai
Mare Jism-o-jaan Ka Yeh Faasla,
Kaheen Waqt Aur Barhaa Na De,
Tujhe Bhool Ke Na Bhulaa Sakoon,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakoon,
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar,
Meri Chahatoon Ka Silaa Na De,
Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thi,
Mere Tan Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha isey,
Na Bujhaa Sake To Hawaa Na De,
Tujhe Agar Milein Kabhi Fursatein,
Mere Shaam Phir Se Sanwaar Day,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar ,
Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na De,
***************
Agar talash karoo to koi mil hi jai ga
Per hamari tarah kon tumhay chahya ga
Tumhay zarore koi chahtaoon say dekhay ga
Per woh ankhain hamari kahan say laayya ga
Tumharay sath ye mosam baharoon jaisa hai
Tumharay baad ye mosam bohat rulayy ga......
*************
koi Hum-Nafas nahi hai koi Raazadan nahi hai
Faqat Ek Dil tha Apna so wo Meharban nahi hai
kisi aur Ghum mein itni Khalish-e-Nihan nahi hai
Ghum-e-Dil mera Rafiq-o-Ghum-e-rayegan nahi hai
Meri Rooh ki Haqeeqat mere Aansuon se pucho
Mera Majalisi Tabassum mera Tarjuman nahi hai
Kisi Aankh ko sada do kisi Zulf ko pukaro
Bari Dhoop par rahi hai koi Sayebaan nahi hai
Inhi Pattharon pe chal ker agar aa sako to aao
Mere Ghar k Raaste mai koi Kahakashan nahi hai
~*~Tum mujh ko achay lagtay ho~*~
Ek baat kahoon ger suntay ho
Tum mujh ko achay lagtay ho
Kuch chanchal se kuch chup chup se
Kuch pagal pagal lagtay ho
Hain chahnay walay aur bohat
Per tum mein hai ek baat bohat
Tum apne apne lagtay ho
Ek baat kahoon ger suntay ho
Yeh baat baat pe kho jana
Kuch kehte kehte ruk jana
Yeh kis uljhan mein lagtay ho
Tum mujh ko achay lagtay ho
Tanhayee ke aalam mein kya boloon mujh ko kaisa lagta hai
Ek ek lamha bhi iss mein sadiyon jaisa lagta hai
Sookhe patton ki aahat ab bhi mujh ko chonkati hai
Yaad hai mujh ko un per chalna tum ko achcha lagta hai
Honton ki hansi se hum ne dard chupaya hai lekin
Aankhon ki surkhi se to dil bhi roya lagta hai
Main to apne aap ko aksar yeh samjhata raheta hoon
tu sab kuch hai phir bhi aakhir tu mera kya lagta hai
Apni aankhon mein khwabon ko log sajay baithe hain
khwabon ka saudagar phir se shaher mein aaya lagta hai
Dil k bahelane ko sab se kaheta hoon main khush hoon
Sach poocho to tanha rahena kis ko achcha lagta hai
Tum kya mere pyar ki shiddat paimano se naapo ge
pyaar main jitna bhi kata hoon mujh ko thoda lagta hai
palkon ki baadhon pe jo tum ashk sajay baithe ho
Dil mein yadon ka phir koi jhonka aaya lagta hai
Jaise bheed mein bachcha koi gum ho jata hai Shadab
Tum jab saath nahi hote ho mujh ko aisa lagta hai
*********
Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main
Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan
Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan
Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai
Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muth-thi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Yeh Bhi Aadab Hamare Hai, Tumhain Kya Malum
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum
Aisa lagta hai zindagi tum ho
Main zameen par ghana andhera hoon Aasmaanon ki chaandini tum ho Ab koi aarzoo nahin baakee joostjoo meree aakhree tum ho Doston-se wafa ki ummeeden! Kis zamaane ke aadmee tum ho?
Tujhko dekhenge to sitare bhi Zia maangen ge
Pyaase teri zulfon se ghataa maange ge
Apne maathe se yun aanchal ko na sarkaa dena
Varna buddhe bhi jawaani ki dua maange ge
Rait par likh ke mera naam mitaya na karo
aankhen sach bolti hain, pyaar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko haalaat ki rudaad sunaya na karo
ye zaroori nahin har shakhs masiha hi ho
pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaya na karo
shahar-e-ehsaas mein pattharaav bahut hain "Mohsin"
dil ko shiishe ke jharonkhon mein sajaaya na karo
Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi
Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo
usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi.....
Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki,
Kaye saal se kuch Khabar hi nahin,
kahaan din guzaaraa kahaan raat di
Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi,
zubaan sab samajhte hain jazbaat ki,
Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin,
musaafir ne jaane kahaan raat ki...
Wada to ker lete hain
Nibhana bhool jate hain
Lagaaa kar aaag seene main
Bujhana bhool jate hain
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai .......
Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi
tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai .....
Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi
teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai ....
Dekh kar log mujhe naam tera lete hain
is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai .....
Woh sitamagar hi sahi dekh ke usko "Sabir"
shukr is dil-e-bimaar ko aaraam to hai
Khoob aati hai jab bhi aati hai,
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n,
Teri soorat ubhar ke aati hai
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.......
Pahale se maraasim na sahii phir bhi kabhi tou
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye aa....
Kis kis ko batayenge judaai ka sabab ham
tu mujhse khafaa hai tou zamaane ke liye aa .........
kuch tou mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manaane ke liye aa.....
ek umr se hoon lazzat-e-giriyaa se bhi maharuum
aye raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa...
ab tak dil-e-khushfeham ko tujh se hain ummiden
ye aakharii shammen bhi bujhaane ke liye aa
Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi.
Mere rooh ki haqeeqat
Merey aansoo se pucho
Mere keh kahon ki duniya
Mere tar juman nahin hai
Sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar,
Kyon yeh kinaro se takra kar palat jati hain,
Karti hain vo kinare se bewafai ya fir sagar se wafa nibhati ha
Chand ke liye sitare anek han,
lekin sitaron ke liye chand ek hai.
Aapke liye to hazaron honge,
lekin hamare liye aap hi ek hain
khushbu ki tarah apke pas bikhar jayenge
sukun bankar dil me utar jayenge
mehsus karne ki koshis karna
dur hote hove bhi pas nazar aaynge
Dosti ki tadap ko dikhaya nahi jata,
dil mein lagi aag ko bhujaya nahi jaata,
Kitni bhi doori hoe dosti me,
aap jaise dost koe bhualaya nahi jaata.**
Har karz dosi ka,ada kon karega,
jab hum he na rahe to dosti kon karega!!
Hey khuda mere dosto ko salmat rakna
varna mere jeene ka dua kon karega!!
Yaad karte rain yaaron ko, yaadon se dil bhar aata hai,
kabhi saath jiya karte thesab,
aaj milne ko dil taras jata hai..
Dil ko dhadkna tune sikhaya,
Dil ko tadapna tune sikhaya,
aankhon mein aansoon kahin chupe the,
unko jhalakna tune sikhaya.
Samunder mein le ja kar fareb na karna e-dost,
Tu kahe to kinare pe doob jaau mein
nazar mein shokhiyaan hai,aur shararat hai,
har adaa masoom laboo per muskhurahat hai,
ghaneri reshmi zhulfae,cheraha chand ka tukdaa,
khile phool sa mehka sabab hai unka,
nazar woh pher lete to,andhera gheer jaate hai,
rubroo hote to nazare jagmagaate hai
Ek Ada Aapki Dil Churaane Ki
Ek Ada Aapki Dil Main Bus Jaane Ki
Ek Chehra Aapka Chaand Sa
Ek Zid Humari Chaand Ko Paane Ki...
Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye
Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi
In Hi Patharon Pe Chal Ke, Aaa Sako To Aao
Hamaare Ghar Ke Raste Koi Kahkashan Nahi
Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki
Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah
Qalam uthai hai lafz nahi milta,
jisko dhund rahe hai wo shaks nahi milta,
phirte hai wo zamane ki talash me,
bus hamare liye he unhe waqt nahi milta
Ek din hamare aansoo hum se pooch baithe,
hame roz roz kyu bulate ho?
Humne kaha, hum to yaad unhe karte hai,
tum kyo chale aate ho?
shiqayat ho koi to hame maf kar dena
fursat se baithe ho agar to hame yaad kar lena
Mere janaazey ki peechey saara Zamaana nikla
Magar woh na nikla jiskey liye mera janaaza nikla.
Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
toh hum madhosh ho gaye,
Par jab pata chala ki unki nazare hi tirchhi hai,
toh hum behosh ho gaye
Aapne Apni AAnkho Me Nur ChupA RAkhA HAi,
Hosh WAlo Ko DiwAnA BAnA RAkhA HAi,
NAz KAise NA KAru AApki Dosti PAr
Muj JAise NAchiz Ko "KHAS" BAnA RAkhA HAi...
Humne Socha Shayad Humi chahte hain unko,
Par unhe chahne walon ka to kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar badshah se,
Par woh badshah bhi unka chahnewala nikla
Hum to tujhe bhool chuke the lekin,
na jaane kyu log teri yaad dilane aaye,
yeh kya kam hai ke teri gali mein tere deedaar ki khaatir,
hum tujhe kisi aur ke milne ke bahane aaye
Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai,
Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai,
Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe,
Sirf ek baar tujhe baahon mein lene ki tamanna hai]
Na Chahat hai sitaro ki! Na tammana hai nazaron ki!
Bas aap jiasa Dost miljaye to kya jarurat hai Hazaron ki
Ban ke ehsaas meri dhadkan k paas rehte ho,
Tasveer ban ke meri ankhon k paas rehte ho,
aaj puchte hai ek sawal tumse,
kya door reh kar tum bhi udaas rehte ho?
Tumko dekha to ek khyal aaya
Tumhari saheli ko dekha to doosra khyal aaya!!
Itna khubsurat kaise muskura lete ho.....
Itna qatil kaise sharma lete ho.....
Kitni aasani se Jaan le lete ho.....
Kisi ne sikhaya hai... ya bachpan se hi kamine ho ?
raaz ki baatain likhi aur khat khula rehney diya
jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya..
umar bhar saath reh kar woh na samjha dil ki baat.
do dilon kay darmiyan ik faasla rahney diya !
apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehney diya !.
tum gairoon ki baath karte ho,humne apno kho aazmaya hai.
tum kaanto se bach ke chalte ho,humne phholonse zakm khaya hai
yaad karne ke liye koi cheez chahiye,
aap nahi to aap ki tasveer chahiye ,
par tasveer aapki hmara dil behala na sakegi,
kyuki wo aapki tarah muskura na sakegi
Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hamein pasand aaye,
ittefaq se hum ne dosti banayi,
Hamari dosti aab ittefaq nahin,
Zindagi ki khoobsurat haqiqat hai
Har dhadkan mein ek raaz hota hai, Har baat ko batane ka ek andaz hota hai, Jab tak thokar na lage bewafai ki, Har kisi ko apne pyar par naaz hota hai
Har baat zuban keh pati jo agar,
Aankhon ke ishaare kyon hote???
Gar samajhte hamare ishaare tum,
Palkon pe yeh taare kyon hote??
Haale dil yaar ko likhu kaise, Haat dil se juda nahi hota
Bina aapke ankhon mein nami rahti hai, Hame hamesha aapki kami rahti hai
subah ko yaad aayi to miss kiya,dopar ko yaad aayi to bahut miss kiya,shaam ko yaad aayi to heart ne skip kiya ,aur jab jaan pe ban aayi to sms kiya.
Na ji bhar ke daikha Na kuch baat ki
Barri aarzoo thi mulaqat ki
Main chup tha to chalti hava rukh gai
Zubaan sub samjhte hain jazbaat ki
Kayi saal se kuch khaber hi nahi
Kahaan din ghuzaara, Kahaan raat ki
Yeh zard zard chehra, yeh laaghari badan mein
Kya ishq mein huwa hai, ay Meer haal tera
Na aaj lutf kar itna kay kal guzer na skay
Wo raat jo tere gasuoo(n) kee raat naheen
Ye aarzoo bhi barri cheez hai magar ham-dum
Visaal-e-yaar faqat aarzoo kee baat naheen
Ye raaz ulfat chhupa k rakhna, na kholna lab na kuch bhi kahena
kabhi mere saamne jo baitho to apni aakhon se baatein karna
Na Itna Toot Ke Milyeh Ke Hum Ko Shak Guzrai
Khuloos Mai Bhi Hai Shart-e-Faasla Rakhna
Us ke dushmem hain bohat aadmi acha hoga
wo bhi meri hi tarah shah'r mein tanha hoga
ab isay log samajhate hain giraftaar meraa
sakht nadim hai mujhe daam mein laanevalaa
kyaa kahein kitney maraasim they hamaaray is say
wo jo ik shakhs hai muunh pher ke jaanevalaa
aghosh sadaf jin kai naseebon mein nahin hai
wo qatara-e-neesaa(n) kabhi banta nahin gohar
Rah e wafa main koi akhari maqam nahi
Shikast e dil ko mohabat ki inteha na samjh
Her aik sahib e manzil ko bamurad na jan
Her aik rah nasheen ko shikasta paa na samjh